हवा के झोंके से माथे पर बिखरते हैं केश तुम्हारे
मैं कल्पना में उन्हें सँवारते शीश पर मोरपंख धरती हूँ
तुम हँसते हो तो गालों में भँवर पड़ते हैं
गोते लगता है वहाँ गौरैया-सा मेरा मन
कुंद की कलियों-सी तुम्हारी दंतपंक्ति
और उस पर खिली चित्ताकर्षक मुस्कान
क्या जादू है कि
मेरी देह को मह-मह महकाती है
कितनी तो मोहक है तुम्हारी छवि
उस पर,
घनी पलकों की छाँव में नैनों से बातें करना
मैं मौन के सागर में डूबती हूँ तिरती हूँ
तुम चंद्र से मेरे अंतराकाश में भ्रमण करते हो
मैं तुम्हें प्रेम करती हूँ
यह बार-बार कहने की ज़रूरत नहीं
तुम भी मुझे चाहते हो यह बस कहा एक बार!
hawa ke jhonke se mathe par bikharte hain kesh tumhare
main kalpana mein unhen sanwarte sheesh par morpankh dharti hoon
tum hanste ho to galon mein bhanwar paDte hain
gote lagta hai wahan gauraiya sa mera man
kund ki kaliyon si tumhari dantpankti
aur us par khili chittakarshak muskan
kya jadu hai ki
meri deh ko mah mah mahkati hai
kitni to mohak hai tumhari chhawi
us par,
ghani palkon ki chhanw mein nainon se baten karna
main maun ke sagar mein Dubti hoon tirti hoon
tum chandr se mere antrakash mein bhramn karte ho
main tumhein prem karti hoon
ye bar bar kahne ki zarurat nahin
tum bhi mujhe chahte ho ye bus kaha ek bar!

स्रोत :
रचनाकार : विशाखा मुलमुले
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.