एक कविता जो जागती रही हैं
मेरी ऑंखों में
जो मेरे दिमाग़ के हर कोने में
घूमती भी रही है चक्करघिन्नी-सी
जिसने मेरे हृदय की गति तक को
कर दिया है मध्यम, जीवन के तालमेल से
जो छत से चिपकी छिपकली की तरह
चिपक गई है मेरे ज़ेहन में
और मेंढक की टर्र-टर्र-सी
चिल्ला रहीं है
मन के धरातल में
जिसने जुगनू की तरह टिमटिमाते हुए
एक दृश्य मेरे जीवन के कैनवास
पर जबरन गढ़ दिया है
वो कविता जो हवाओं में
ऑक्सीजन-सी घुल गई है
मेरी साँसों के लिए
जिस कविता का छोर मुझे
आकाश और पृथ्वी के क्षितिज पर
बहुत दूर देखने पर भी नहीं दिखता
जो आशुतोष-सी उन्नत हो गई
मेरी दुनिया के फ़लक पर
जिसे आज तक काग़ज़ पर
उतार नहीं पाया हूँ
मैं किसी भी क़लम से
जो मेरे कंठ में अटक गई है
फँसे स्वरों की ध्वनि की तरह
जिसे अथाह महसूस करके भी
अपना नहीं कह सकता हूँ मैं
अगर उसे तुम्हारा नाम दे दूँ
तो रूठ तो नहीं जाओगी तुम!
ek kawita jo jagti rahi hain
meri aunkhon mein
jo mere dimagh ke har kone mein
ghumti bhi rahi hai chakkarghinni si
jisne mere hirdai ki gati tak ko
kar diya hai maddhyam, jiwan ke talamel se
jo chhat se chipki chhipkali ki tarah
chipak gai hai mere zehn mein
aur meinDhak ki tarr tarr si
chilla rahin hai
man ke dharatal mein
jisne jugnu ki tarah timtimate hue
ek drishya mere jiwan ke kainwas
par jabran gaDh diya hai
wo kawita jo hawaon mein
oxygen si ghul gai hai
meri sanson ke liye
jis kawita ka chhor mujhe
akash aur prithwi ke kshaitij par
bahut door dekhne par bhi nahin dikhta
jo ashutosh si unnat ho gai
meri duniya ke falak par
jise aaj tak kaghaz par
utar nahin paya hoon
main kisi bhi qalam se
jo mere kanth mein atak gai hai
phanse swron ki dhwani ki tarah
jise athah mahsus karke bhi
apna nahin kah sakta hoon main
agar use tumhara nam de doon
to rooth to nahin jaogi tum!
ek kawita jo jagti rahi hain
meri aunkhon mein
jo mere dimagh ke har kone mein
ghumti bhi rahi hai chakkarghinni si
jisne mere hirdai ki gati tak ko
kar diya hai maddhyam, jiwan ke talamel se
jo chhat se chipki chhipkali ki tarah
chipak gai hai mere zehn mein
aur meinDhak ki tarr tarr si
chilla rahin hai
man ke dharatal mein
jisne jugnu ki tarah timtimate hue
ek drishya mere jiwan ke kainwas
par jabran gaDh diya hai
wo kawita jo hawaon mein
oxygen si ghul gai hai
meri sanson ke liye
jis kawita ka chhor mujhe
akash aur prithwi ke kshaitij par
bahut door dekhne par bhi nahin dikhta
jo ashutosh si unnat ho gai
meri duniya ke falak par
jise aaj tak kaghaz par
utar nahin paya hoon
main kisi bhi qalam se
jo mere kanth mein atak gai hai
phanse swron ki dhwani ki tarah
jise athah mahsus karke bhi
apna nahin kah sakta hoon main
agar use tumhara nam de doon
to rooth to nahin jaogi tum!
स्रोत :
पुस्तक : सोया हुआ शहर (पृष्ठ 101)
रचनाकार : सौरभ सिंह क्रांतिकारी
प्रकाशन : अधिकरण प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.