दूर तक फैला मैदान
मैदान में बिस्कुट जैसे खेत कितने सुंदर लगते हैं
वहीं पगड़ी पहने बिजूका
मनुष्य का प्रतिनिधि है
हाथ में लट्ठ टिकाए
वह कितना सुंदर लगता है
अगर यह सब सुंदर लगता है
तो यह सौंदर्य की सबसे सीमित दृष्टि है
ये खेत हमने अपने लिए बनाए हैं
ये खेत सुंदर सहज संसार की क़ीमत पर बने हैं
ये खेत अगर पेट की नाप तक रहते
और पेट की नाप भी होती सीमित
तब भी ठीक थे
लेकिन अब ये मेरे लिए कारख़ानों की तरह हैं
जिनमें ज़हर के ट्रक उगाकर मंडियों तक पहुँचाये जाते हैं
ज़हर की होड़ में
हमने इतना छीला-छाँटा है पृथ्वी को
कि बँटवारे का यह खेल
ख़तरनाक मोड़ तक आ गया है
इंसानी अखाड़े से बाहर का संसार
सिर्फ़ मेंढ़ तक सिमट गया है
अब अपनी मर्ज़ी से उगना चाहे कोई पेड़
तो यही मेंढ़ शेष है
अब मर्ज़ी से खिलना चाहे कोई फूल
तो यही जगह शेष है
यहीं शाख पर झूलती सकती हैं मधुमक्खियाँ
यहीं कोई खातीचिड़ा तिनके जोड़ता है
यहीं दीमोले में जनती है घो अपने बच्चे
यहीं कोई सर्प लंबी निद्रा में लीन रह सकता है
अब यही इनकी सृष्टि है
यही इनका ब्रह्मांड
लेकिन वर्ष में आते हैं फिर ऐसे भी महीने
जब दूर आकाश में बादल देखकर उठते हैं ज़मींदार
गरजते ट्रैक्टर लिए खेतों में पहुँचते हैं
सींक जोड़कर पहले सुलगाते हैं अपने होंठ
वही सींक लाँफ के कोने में टिका देते हैं
दूर तक धूँ-धूँ फैल जाती हैं अग्नि-रेखाएँ
दूर तक आकाश में बादलों से धुआँ जा मिलता है
लपटें चढ़ती हैं पेड़ की टुगली तक
लपटें मेंढ़ पकड़कर आगे बढ़ती हैं
वे धरती के पेट में दुबके जीवन तक नीचे उतर जाती हैं
जो सृष्टि सिर्फ़ मेंढ़ तक बची थी,
हाहाकार मच जाता है
सामूहिक संहार का रुदन होता है
रुदन की इस भाषा से अनभिज्ञ
हम अपनी सृष्टि में लौट आते हैं
door tak phaila maidan
maidan mein biskut jaise khet kitne sundar lagte hain
vahin pagDi pahne bijuka
manushya ka pratinidhi hai
haath mein latth tikaye
wo kitna sundar lagta hai
agar ye sab sundar lagta hai
to ye saundarya ki sabse simit drishti hai
ye khet hamne apne liye banaye hain
ye khet sundar sahj sansar ki qimat par bane hain
ye khet agar pet ki naap tak rahte
aur pet ki naap bhi hoti simit
tab bhi theek the
lekin ab ye mere liye karkhanon ki tarah hain
jinmen zahr ke trak ugakar manDiyon tak pahunchaye jate hain
zahr ki hoD men
hamne itna chhila chhanta hai prithvi ko
ki bantvare ka ye khel
khatarnak moD tak aa gaya hai
insani akhaDe se bahar ka sansar
sirf menDh tak simat gaya hai
ab apni marzi se ugna chahe koi peD
to yahi menDh shesh hai
ab marzi se khilna chahe koi phool
to yahi jagah shesh hai
yahin shaakh par jhulti sakti hain madhumakkhiyan
yahin koi khatichiDa tinke joDta hai
yahin dimole mein janti hai gho apne bachche
yahin koi sarp lambi nidra mein leen rah sakta hai
ab yahi inki srishti hai
yahi inka brahmanD
lekin varsh mein aate hain phir aise bhi mahine
jab door akash mein badal dekhkar uthte hain zamindar
garajte traiktar liye kheton mein pahunchte hain
seenk joDkar pahle sulgate hain apne honth
vahi seenk laanph ke kone mein tika dete hain
door tak dhoon dhoon phail jati hain agni rekhayen
door tak akash mein badlon se dhuan ja milta hai
lapten chaDhti hain peD ki tugli tak
lapten menDh pakaDkar aage baDhti hain
ve dharti ke pet mein dubke jivan tak niche utar jati hain
jo srishti sirf menDh tak bachi thi,
hahakar mach jata hai
samuhik sanhar ka rudan hota hai
rudan ki is bhasha se anbhigya
hum apni srishti mein laut aate hain

स्रोत :
रचनाकार : आनंद बलराम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.