मेरे दिल में इतनी मेखें हैं
कि तन सकते हैं प्यार के हज़ार शामियाने
पर हाय जिस किसी काग को बनाया क़ासिद
वही कंकाल पर ठहर गया
पूर्णिमा का चाँद यह
घुमाता है मुझको चाक पर अपने
घुमाते-घुमाते एकदम छोड़ता हाथ
मैं गिरता हवाओं पर उघरता खुलता
मैं तुम्हें सोचता हूँ बहुत
जल रही लालटेन सूखी लिपी भूमि पर
और तुम देख रहीं घूर की परछाईं
और तुम देख चमक रहीं शीशे-सी
यहाँ तो बादर हैं चारों तरफ़
भीतर धुँध सालों से ठहरी
रात भर बैठ चली गई भेंड़ें
ख़ाली खेत फिर वही शीत
सबसे छुपा बाँधता हूँ रोज़ पट्टियाँ चुपचाप
देखता हूँ घाव अपने खोलकर हर रात
mere dil mein itni mekhen hain
ki tan sakte hain pyar ke hazar shamiyane
par hay jis kisi kag ko banaya qasid
wahi kankal par thahar gaya
purnaima ka chand ye
ghumata hai mujhko chaak par apne
ghumate ghumate ekdam chhoDta hath
main girta hawaon par ugharta khulta
main tumhein sochta hoon bahut
jal rahi lalten sukhi lipi bhumi par
aur tum dekh rahin ghoor ki parchhain
aur tum dekh chamak rahin shishe si
yahan to badar hain charon taraf
bhitar dhundh salon se thahri
raat bhar baith chali gai bhenDen
khali khet phir wahi sheet
sabse chhupa bandhta hoon roz pattiyan chupchap
dekhta hoon ghaw apne kholkar har raat
mere dil mein itni mekhen hain
ki tan sakte hain pyar ke hazar shamiyane
par hay jis kisi kag ko banaya qasid
wahi kankal par thahar gaya
purnaima ka chand ye
ghumata hai mujhko chaak par apne
ghumate ghumate ekdam chhoDta hath
main girta hawaon par ugharta khulta
main tumhein sochta hoon bahut
jal rahi lalten sukhi lipi bhumi par
aur tum dekh rahin ghoor ki parchhain
aur tum dekh chamak rahin shishe si
yahan to badar hain charon taraf
bhitar dhundh salon se thahri
raat bhar baith chali gai bhenDen
khali khet phir wahi sheet
sabse chhupa bandhta hoon roz pattiyan chupchap
dekhta hoon ghaw apne kholkar har raat
स्रोत :
रचनाकार : अरुण कमल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.