गाँव में नब्बे के दशक की एक कहावत है
जोरू के ग़ुलाम बनने से पहले
घोड़े के जैसे उसकी लगाम कस दो।
पितृसत्ता के पाँव की छाप
देर-सबेर पुरुषों तक भी पहुँची है
वे पुरुष
जिन्होंने लगाए अपनी पत्नी के हाथों में मेंहदी,
वे पुरुष
जिन्होंने किसी रोज़ सुबह बनाई चाय!
वे पुरुष
जिन्होंने कभी भी नहीं लगाया अपनी पत्नी को थप्पड़,
वे पुरुष
जिन्होंने चुना हर रोज पत्नी के साथ बाज़ार जाना,
वे पुरुष
जिन्होंने नहीं विलीन होने दिए अपनी नायिका के स्वप्न!
वे पुरुष
जिन्होंने क्षणिक कुंठित अभिमान को समाप्त करने के लिए
रौंद दिए पितृसत्ता के रखवालों के पाँव...
उस वर्तमान समाज ने उन्हें दी
मऊगहर लड़के की संज्ञा!
और सोचा इससे छिन जाएगा उनका पुरुषत्व।
अगर बचा है उन पुरुषों का अस्तित्व
तो मुझे इतना विश्वास है कि
वे होंगे इस समय दुनिया के सबसे संवेदनशील पिता
दी होगी उन्होंने अपने बच्चों को पहली शिक्षा
कि—
किसी स्त्री को प्रेम देने से पूर्व उसे इज़्ज़त देनी चाहिए।
हे पुरुष!
मैं अंतत: तुमसे क्षमा चाहता हूँ
और कहना चाहता हूँ कि—
किसी रोज़ बेपरवाह होकर
चूम लो सबके समक्ष अपनी स्त्री के पाँव
जैसे चूम लेती है आषाढ़ की पहली बारिश
मेरे गाँव की मिट्टी॥
gaanv mein nabbe ke dashak ki ek kahavat hai
joru ke ghulam banne se pahle
ghoDe ke jaise uski lagam kas do.
main puchhta hun—par kyon?
pitrsatta ke paanv ki chhaap
der saber purushon tak bhi pahunchi hai
ve purush
jinhonne lagaye apni patni ke hathon mein menhdi,
ve purush
jinhonne kisi roz subah banai chaay!
ve purush
jinhonne kabhi bhi nahin lagaya apni patni ko thappaD,
ve purush
jinhonne chuna har roj patni ke saath bazar jana,
ve purush
jinhonne nahin vilin hone diye apni nayika ke svapn!
ve purush
jinhonne kshanaik kunthit abhiman ko samapt karne ke liye
raund diye pitrsatta ke rakhvalon ke paanv. . .
us vartaman samaj ne unhen di
maughar laDke ki sangya!
aur socha isse chhin jayega unka purushatv.
agar bacha hai un purushon ka astitv
to mujhe itna vishvas hai ki
ve honge is samay duniya ke sabse sanvedanshil pita
di hogi unhonne apne bachchon ko pahli shiksha
ki—
kisi istri ko prem dene se poorv use izzat deni chahiye.
he purush!
main anttah tumse kshama chahta hoon
aur kahna chahta hoon ki—
kisi roz beparvah hokar
choom lo sabke samaksh apni istri ke paanv
jaise choom leti hai ashaDh ki pahli barish
mere gaanv ki mitti॥

स्रोत :
रचनाकार : मनीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.