एक व्यंग्य उठता है किसी कोने से
और भीड़ में मौजूद सबसे थके चेहरे पर
आँसू की शक्ल में ढुलक जाता है
हा-हा, ही-ही, हो-हो का ध्वनि-विस्तार
न भीतर रच पाता कोई संसार
न बाहर की दुनिया में ही दर्ज हो पाता है
मेरे तमाम परिचित मित्र, हितैषी
कवि, पत्रकार, नेता और रिश्तेदार
अक्सर उस रूप में नहीं मिलते
जिनमें वास्तव में वे होते हैं
मिलता हूँ आपसे मैं भी वैसे ही
जैसे आप पूरी तरह आश्वस्त होते हैं
इसी भीड़ में रहते हुए भीड़ से अलग
हर एक रोता है अपने-अपने ढंग से
जिस पर दूसरे अपने अनूठे तरीक़ों से हँसते हैं
बच्चे की ख़ुशी की तरह खिले हुए इस जहान में
हम उतने ही मसख़रे हैं
जितनी छूट दूसरा हम पर हँसने के लिए लेता
दूसरे उतने ही
जितना हम या कोई और बेवजह उस पर हँसता।
ek wyangya uthta hai kisi kone se
aur bheeD mein maujud sabse thake chehre par
ansu ki shakl mein Dhulak jata hai
ha ha, hi hi, ho ho ka dhwani wistar
na bhitar rach pata koi sansar
na bahar ki duniya mein hi darj ho pata hai
mere tamam parichit mitr, hitaishai
kawi, patrakar, neta aur rishtedar
aksar us roop mein nahin milte
jinmen wastaw mein we hote hain
milta hoon aapse main bhi waise hi
jaise aap puri tarah ashwast hote hain
isi bheeD mein rahte hue bheeD se alag
har ek rota hai apne apne Dhang se
jis par dusre apne anuthe tariqon se hanste hain
bachche ki khushi ki tarah khile hue is jahan mein
hum utne hi masakhre hain
jitni chhoot dusra hum par hansne ke liye leta
dusre utne hi
jitna hum ya koi aur bewajah us par hansta
ek wyangya uthta hai kisi kone se
aur bheeD mein maujud sabse thake chehre par
ansu ki shakl mein Dhulak jata hai
ha ha, hi hi, ho ho ka dhwani wistar
na bhitar rach pata koi sansar
na bahar ki duniya mein hi darj ho pata hai
mere tamam parichit mitr, hitaishai
kawi, patrakar, neta aur rishtedar
aksar us roop mein nahin milte
jinmen wastaw mein we hote hain
milta hoon aapse main bhi waise hi
jaise aap puri tarah ashwast hote hain
isi bheeD mein rahte hue bheeD se alag
har ek rota hai apne apne Dhang se
jis par dusre apne anuthe tariqon se hanste hain
bachche ki khushi ki tarah khile hue is jahan mein
hum utne hi masakhre hain
jitni chhoot dusra hum par hansne ke liye leta
dusre utne hi
jitna hum ya koi aur bewajah us par hansta
स्रोत :
रचनाकार : यतींद्र मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.