एक भी पत्ता गिरता है जब-जब
पत्ते के साथ पेड़ मरता है तब-तब
अपने हर टूटते बाल के साथ मरती है स्त्री थोड़ा-थोड़ा
सुगंध से बिछड़ते ही मर जाते हैं फूल
हृदय से बिछुड़ कर मर जाती हैं साँस
सुनती हूँ सुना भी है कि पृथ्वी जिस दिन अलग हुई चंद्रमा से
उसी क्षण मर गई थी
कितनी ही ऐसी बातें होती हैं,
जिनके सही या ग़लत होने का फ़ैसला कोई और करता है
कोई माने न माने
आकाश के आँगन से निकलने के बाद
हर सितारा मरता है
प्रश्न है जीवित रहने के लिए क्या अपने आँगन में बंद रहूँ?
शब्द मुझसे दूर होने के बाद मर जाएँगे,
क्या इसलिए चुप रहूँ?
सुनती हूँ, सुना है
चुप रहने से मर जाते हैं सपने
सपनों को मार कर जीऊँ कैसे डर कर
ek bhi patta girta hai jab jab
patte ke sath peD marta hai tab tab
apne har tutte baal ke sath marti hai istri thoDa thoDa
sugandh se bichhaDte hi mar jate hain phool
hirdai se bichhuD kar mar jati hain sans
sunti hoon suna bhi hai ki prithwi jis din alag hui chandrma se
usi kshan mar gai thi
kitni hi aisi baten hoti hain,
jinke sahi ya ghalat hone ka faisla koi aur karta hai
koi mane na mane
akash ke angan se nikalne ke baad
har sitara marta hai
parashn hai jiwit rahne ke liye kya apne angan mein band rahun?
shabd mujhse door hone ke baad mar jayenge,
kya isliye chup rahun?
sunti hoon, suna hai
chup rahne se mar jate hain sapne
sapnon ko mar kar jiun kaise Dar kar

स्रोत :
रचनाकार : आभा बोधिसत्व
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.