मुझे किसी समय मारा जा सकता है
मेरा सब छीना जा सकता है एक इशारे पर
बार-बार बोले गए झूठ मिटाएँगे मेरा सच
आरोप छा जाएँगे मेरी करनी पर
मुझ पर थोपी जाएगी दूसरी पहचान
जिसके लिए क़ानून में सज़ा हो
अन्याय होगा न्याय की ज़रूरत-सा
जान के भूखे मारते हैं
सबसे भागते हैं
छुपते हैं कि कोई पहचान न पाए
लेकिन मुझे मारने वाले
हाथों में किताब लेकर आएँगे
पहने होंगे सूट-बूट
झूठ विनम्रता से बोलेंगे
मेरे बयान पर मुस्कुराएँगे
जैसे दूध में पानी मिलाया जाता है
आदेशों, अनुशासन और उचित माध्यमों के
शानदार अनुपालन से
मैं रोज़ अकेला होता जाऊँगा
जैसे दलित को दान मिलता है
मुझे न्याय मिलेगा
संसदीय भाषा में बड़ी संक्षिप्ति के साथ
अंत में कहा जाएगा—
मेरा सज़ा पाना ज़रूरी है
कुछ लोग जिन्हें ख़तरे का अनुमान होता है
थोड़े और लायक़, थोड़े और आज्ञाकारी हो जाएँगे
महत्वाकांक्षी फ़ैसले की भाषा के कायल होंगे
मेरे सम्मानित हत्यारे की तरक़्क़ी होगी
जैसे निर्दोष क़ैदियों को जेल अपराधी बनाता है
और जेलर ईनाम पाता है
मुझे किसी क्षण मारा जा सकता है
यह मेरा डर नहीं है
जीवनरक्षक परिस्थितियों में
अपनी वैधानिक हत्या के लिए गढ़े गए सबूतों,
जुटाए गए हथियारों को देख लेना है
इस तरह मारे जाना है
कि बचने की कोशिश में और मारे जाएँ
इतना निरापद मैं
मेरे पक्ष में कोई नहीं बोलने वाला
मारने वाले जानते हैं
अपनी बारी आ जाने से हर कोई डरता है
लेकिन जिसने हाकिम को हत्यारा देख लिया
जो बोलता है,
वह चुपचाप नहीं मिटेगा।
mujhe kisi samay mara ja sakta hai
mera sab chhina ja sakta hai ek ishare par
bar bar bole gaye jhooth mitayenge mera sach
arop chha jayenge meri karni par
mujh par thopi jayegi dusri pahchan
jiske liye qanun mein saza ho
annyaye hoga nyay ki zarurat sa
jaan ke bhukhe marte hain
sabse bhagte hain
chhupte hain ki koi pahchan na pae
lekin mujhe marne wale
hathon mein kitab lekar ayenge
pahne honge soot boot
jhooth winamrata se bolenge
mere byan par muskurayenge
jaise doodh mein pani milaya jata hai
adeshon, anushasan aur uchit madhymon ke
shanadar anupalan se
main roz akela hota jaunga
jaise dalit ko dan milta hai
mujhe nyay milega
sansdiy bhasha mein baDi sankshipti ke sath
ant mein kaha jayega—
mera saza pana zaruri hai
kuch log jinhen khatre ka anuman hota hai
thoDe aur layaq, thoDe aur agyakari ho jayenge
mahatwakankshi faisle ki bhasha ke kayal honge
mere sammanit hatyare ki taraqqi hogi
jaise nirdosh qaidiyon ko jel apradhi banata hai
aur jailor inam pata hai
mujhe kisi kshan mara ja sakta hai
ye mera Dar nahin hai
jiwanrakshak paristhitiyon mein
apni waidhanik hattya ke liye gaDhe gaye sabuton,
jutaye gaye hathiyaron ko dekh lena hai
is tarah mare jana hai
ki bachne ki koshish mein aur mare jayen
itna nirapad main
mere paksh mein koi nahin bolne wala
marne wale jante hain
apni bari aa jane se har koi Darta hai
lekin jisne hakim ko hatyara dekh liya
jo bolta hai,
wo chupchap nahin mitega
mujhe kisi samay mara ja sakta hai
mera sab chhina ja sakta hai ek ishare par
bar bar bole gaye jhooth mitayenge mera sach
arop chha jayenge meri karni par
mujh par thopi jayegi dusri pahchan
jiske liye qanun mein saza ho
annyaye hoga nyay ki zarurat sa
jaan ke bhukhe marte hain
sabse bhagte hain
chhupte hain ki koi pahchan na pae
lekin mujhe marne wale
hathon mein kitab lekar ayenge
pahne honge soot boot
jhooth winamrata se bolenge
mere byan par muskurayenge
jaise doodh mein pani milaya jata hai
adeshon, anushasan aur uchit madhymon ke
shanadar anupalan se
main roz akela hota jaunga
jaise dalit ko dan milta hai
mujhe nyay milega
sansdiy bhasha mein baDi sankshipti ke sath
ant mein kaha jayega—
mera saza pana zaruri hai
kuch log jinhen khatre ka anuman hota hai
thoDe aur layaq, thoDe aur agyakari ho jayenge
mahatwakankshi faisle ki bhasha ke kayal honge
mere sammanit hatyare ki taraqqi hogi
jaise nirdosh qaidiyon ko jel apradhi banata hai
aur jailor inam pata hai
mujhe kisi kshan mara ja sakta hai
ye mera Dar nahin hai
jiwanrakshak paristhitiyon mein
apni waidhanik hattya ke liye gaDhe gaye sabuton,
jutaye gaye hathiyaron ko dekh lena hai
is tarah mare jana hai
ki bachne ki koshish mein aur mare jayen
itna nirapad main
mere paksh mein koi nahin bolne wala
marne wale jante hain
apni bari aa jane se har koi Darta hai
lekin jisne hakim ko hatyara dekh liya
jo bolta hai,
wo chupchap nahin mitega
स्रोत :
रचनाकार : शशिभूषण
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.