एक मामूली कविता लिखने का
मज़ा ही कुछ और है एक ऐसी कविता
जो अँगूठे के बारे में हो या
अचानक शुरू हो गई शाम के बारे में
या किसी स्टेशन के बारे में जिससे
होकर आप कभी गुज़रे थे या
एक ऐसे बड़े-से गेट के लोहे के बारे में
जिसको छूकर ये लगता था कि
जीवन में नहीं बची है कोमलता
एक मामूली कविता उन
दोस्तों के बारे में भी लिखी जा सकती है
जो चाय का इंतज़ार करते हुए बैठे होते हैं
एक दूसरे को देखते हुए
और ये सोचते हुए कि मृत्यु
हम सबके लिए भी है
मामूली कविता में समकालीनता
के किसी कोने में पड़े रहने का
अनोखापन होता है हाशिए पर
बने रहने का चयन
केंद्र में होने की
निर्लज्जता से निजात पाने
की हिकमत कि जैसे
किसी ने दरवाज़े पर खाट
डालने का फ़ैसला किया हो ज़्यादा
आसमान और ज़्यादा हवा के लिए
घर की सुरक्षा से ऊबकर
यह डायरी
लिखने जैसा होता है—शैलीविहीन
कुछ मामूली वाक्य कि जिनका कर्ता
लापता हो और कुछ क्रियाओं से ही
चला लिया गया हो काम
एक मामूली कविता लिखने का मज़ा
इसलिए भी है कि वो किसी
पाठ्यक्रम का हिस्सा नहीं
बनेगी और न ही अमर बनाने में निभाएगी कोई
भूमिका उस पर पुरस्कार भी नहीं दे पाएगा
ताक़तवर साहित्यिकों का कोई गिरोह।
ek mamuli kawita likhne ka
maza hi kuch aur hai ek aisi kawita
jo anguthe ke bare mein ho ya
achanak shuru ho gai sham ke bare mein
ya kisi station ke bare mein jisse
hokar aap kabhi guzre the ya
ek aise baDe se gate ke lohe ke bare mein
jisko chhukar ye lagta tha ki
jiwan mein nahin bachi hai komalta
ek mamuli kawita un
doston ke bare mein bhi likhi ja sakti hai
jo chay ka intzar karte hue baithe hote hain
ek dusre ko dekhte hue
aur ye sochte hue ki mirtyu
hum sabke liye bhi hai
mamuli kawita mein samkalinata
ke kisi kone mein paDe rahne ka
anokhapan hota hai hashiye par
bane rahne ka chayan
kendr mein hone ki
nirlajjata se nijat pane
ki hikmat ki jaise
kisi ne darwaze par khat
Dalne ka faisla kiya ho zyada
asman aur zyada hawa ke liye
ghar ki suraksha se ubkar
ye Diary
likhne jaisa hota hai—shailiwihin
kuch mamuli waky ki jinka karta
lapata ho aur kuch kriyaon se hi
chala liya gaya ho kaam
ek mamuli kawita likhne ka maza
isliye bhi hai ki wo kisi
pathyakram ka hissa nahin
banegi aur na hi amar banane mein nibhayegi koi
bhumika us par puraskar bhi nahin de payega
taqatwar sahityikon ka koi giroh
ek mamuli kawita likhne ka
maza hi kuch aur hai ek aisi kawita
jo anguthe ke bare mein ho ya
achanak shuru ho gai sham ke bare mein
ya kisi station ke bare mein jisse
hokar aap kabhi guzre the ya
ek aise baDe se gate ke lohe ke bare mein
jisko chhukar ye lagta tha ki
jiwan mein nahin bachi hai komalta
ek mamuli kawita un
doston ke bare mein bhi likhi ja sakti hai
jo chay ka intzar karte hue baithe hote hain
ek dusre ko dekhte hue
aur ye sochte hue ki mirtyu
hum sabke liye bhi hai
mamuli kawita mein samkalinata
ke kisi kone mein paDe rahne ka
anokhapan hota hai hashiye par
bane rahne ka chayan
kendr mein hone ki
nirlajjata se nijat pane
ki hikmat ki jaise
kisi ne darwaze par khat
Dalne ka faisla kiya ho zyada
asman aur zyada hawa ke liye
ghar ki suraksha se ubkar
ye Diary
likhne jaisa hota hai—shailiwihin
kuch mamuli waky ki jinka karta
lapata ho aur kuch kriyaon se hi
chala liya gaya ho kaam
ek mamuli kawita likhne ka maza
isliye bhi hai ki wo kisi
pathyakram ka hissa nahin
banegi aur na hi amar banane mein nibhayegi koi
bhumika us par puraskar bhi nahin de payega
taqatwar sahityikon ka koi giroh
स्रोत :
रचनाकार : देवी प्रसाद मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.