एक मक्खी लगातार मुझे परेशान कर रही है
अगर वह मेरी नाक पर रह-रहकर बैठती है और उसके बैठने से
मुझे चोट लगने जैसा अनुभव नहीं होता
तो इसका यह आशय तो क़तई नहीं है कि मैं उसके बैठने से
प्रसन्न हो रहा हूँ
मैं इस समय बहुत परेशान हूँ
उसे थप्पड़ मार नहीं सकता
क्योंकि वह मेरे नाख़ून की लंबाई के आधे से थोड़ी कम लंबी है
वह सिर्फ़ हवा से
वह भी हाथ को तेज़ी से एक तरफ़ घुमाने से जितनी हवा
आसन्न संकट की तरह उसके पंख को स्पर्श करती है
उससे उड़ जाती है
आप यक़ीन करें
कई बार मेरे दोनों हाथ जब किसी काम में व्यस्त होते हैं
मसलन आटा गूँथते वक़्त
उस समय तो यही इच्छा होती है कि किसी से कहूँ
उसे गोली मार दे
फिर सकपकाकर अपनी मूर्खता को
थोड़ा इधर-उधर गर्दन हिलाकर मक्खी को उड़ाने की कोशिश में
पी जाता हूँ
मैं सचमुच बहुत परेशान हूँ और चूँकि परेशान हूँ
इसलिए यह राज़ की बात आप भी जान लें
तो अच्छा है
कि हर रोज़ की तरह आज भी मैं सपने में देखूँगा
कि वही मक्खी मेरी आत्मा की नाक पर बैठी है
और आत्मा बिल्कुल परेशान नहीं है
ek makkhi lagatar mujhe pareshan kar rahi hai
agar wo meri nak par rah rahkar baithti hai aur uske baithne se
mujhe chot lagne jaisa anubhaw nahin hota
to iska ye ashay to qati nahin hai ki main uske baithne se
prasann ho raha hoon
main is samay bahut pareshan hoon
use thappaD mar nahin sakta
kyonki wo mere nakhun ki lambai ke aadhe se thoDi kam lambi hai
wo sirf hawa se
wo bhi hath ko tezi se ek taraf ghumane se jitni hawa
asann sankat ki tarah uske pankh ko sparsh karti hai
usse uD jati hai
ap yaqin karen
kai bar mere donon hath jab kisi kaam mein wyast hote hain
masalan aata gunthate waqt
us samay to yahi ichha hoti hai ki kisi se kahun
use goli mar de
phir sakapkakar apni murkhata ko
thoDa idhar udhar gardan hilakar makkhi ko uDane ki koshish mein
pi jata hoon
main sachmuch bahut pareshan hoon aur chunki pareshan hoon
isliye ye raaz ki baat aap bhi jaan len
to achchha hai
ki har roz ki tarah aaj bhi main sapne mein dekhunga
ki wahi makkhi meri aatma ki nak par baithi hai
aur aatma bilkul pareshan nahin hai

स्रोत :
रचनाकार : महेश आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.