मैं देख रहा हूँ मज़दूर
भूख से बिलबिलाते उसके बच्चे
मैं निकम्मे अधिकारी भी देख रहा हूँ
देख रहा हूँ घास की आड़ में
इंसानियत को खाने वाला अधिकारी।
मुझे दूर से आती दिखाई देती
क्रिकेट की सुनहरी गेंद
जो मज़दूर के ख़ाली पेट को
चीरती-फाड़ती गिरती दूसरे छोर।
सिनेमा की रंग-बिरंगी रोशनी
इसमें पतझड़ भी सावन दिखाई दे
उस मज़दूर की आँख में बस
मोतियाबिंद-सा नज़र आता है।
मुझे राम-सीता को सरयू पार कराता
बस वह केवट नज़र आता है
मज़दूर न होता तो कैसे बनती रामायण
कैसे पहुँचते लंका बिन मज़दूर वानरों के।
हमने आँखें मूँद ली है
दिखाई पड़ती है अपनी ही लाश
खड़े होकर लाश पर सफ़ेद पोश
बाँट रहा है सहानुभूति।
मेरा दम घुटता है मेरे ही मकान में
पसीना रिसता है इन दीवारों से मज़दूर का
मै आज ही निकल जाता उसके पीछे
पर मेरा पेट तो भरा हुआ है।
main dekh raha hoon mazdur
bhookh se bilbilate uske bachche
main nikamme adhikari bhi dekh raha hoon
dekh raha hoon ghas ki aaD mein
insaniyat ko khane wala adhikari
mujhe door se aati dikhai deti
cricket ki sunahri gend
jo mazdur ke khali pet ko
chirti phaDti girti dusre chhor
cinema ki rang birangi roshni
ismen patjhaD bhi sawan dikhai de
us mazdur ki ankh mein bus
motiyabind sa nazar aata hai
mujhe ram sita ko saryu par karata
bus wo kewat nazar aata hai
mazdur na hota to kaise banti ramayan
kaise pahunchte lanka bin mazdur wanron ke
hamne ankhen moond li hai
dikhai paDti hai apni hi lash
khaDe hokar lash par safed posh
bant raha hai sahanubhuti
mera dam ghutta hai mere hi makan mein
pasina rista hai in diwaron se mazdur ka
mai aaj hi nikal jata uske pichhe
par mera pet to bhara hua hai
main dekh raha hoon mazdur
bhookh se bilbilate uske bachche
main nikamme adhikari bhi dekh raha hoon
dekh raha hoon ghas ki aaD mein
insaniyat ko khane wala adhikari
mujhe door se aati dikhai deti
cricket ki sunahri gend
jo mazdur ke khali pet ko
chirti phaDti girti dusre chhor
cinema ki rang birangi roshni
ismen patjhaD bhi sawan dikhai de
us mazdur ki ankh mein bus
motiyabind sa nazar aata hai
mujhe ram sita ko saryu par karata
bus wo kewat nazar aata hai
mazdur na hota to kaise banti ramayan
kaise pahunchte lanka bin mazdur wanron ke
hamne ankhen moond li hai
dikhai paDti hai apni hi lash
khaDe hokar lash par safed posh
bant raha hai sahanubhuti
mera dam ghutta hai mere hi makan mein
pasina rista hai in diwaron se mazdur ka
mai aaj hi nikal jata uske pichhe
par mera pet to bhara hua hai
स्रोत :
रचनाकार : चंदन यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.