111
मध्यस्थता यथेष्ट है, यदि हो यह संस्कार।
शत्रु मित्र औ’ अन्य से, न्यायोचित व्यवहार॥
112
न्यायनिष्ठ की संपदा, बिना हुए क्षयशील।
वंश वंश का वह रहे, अवलंबन स्थितिशील॥
113
तजने से निष्पक्षता, जो धन मिले अनन्त।
भला, भले ही, वह करे तजना उसे तुरन्त॥
114
कोई ईमानदार है, अथवा बेईमान।
उन उनके अवशेष से, होती यह पहचान॥
115
संपन्नता विपन्नता, इनका है न अभाव।
सज्जन का भूषण रहा, न्यायनिष्ठता भाव॥
116
सर्वनाश मेरा हुआ, यों जाने निर्धार।
चूक न्याय-पथ यदि हुआ, मन में बुरा विचार॥
117
न्यायवान धर्मिष्ठ की, निर्धनता अवलोक।
मानेगा नहिं हीनता, बुद्धिमान का लोक॥
118
सम रेखा पर हो तुला, ज्यों तोले सामान।
भूषण महानुभाव का, पक्ष न लेना मान॥
119
कहना सीधा वचन है, मध्यस्थता ज़रूर।
दृढ़ता से यदि हो गई, चित्त-वक्रता दूर॥
120
यदि रखते पर माल को, अपना माल समान।
वणिक करे वाणिज्य तो, वही सही तू जान॥
111
madhyasthata yathesht hai, yadi ho ye sanskar.
shatru mitr au’ any se, nyayochit vyvahar॥
112
nyaynishth ki sampada, bina hue kshayshil.
vansh vansh ka wo rahe, avlamban sthitishil॥
113
tajne se nishpakshata, jo dhan mile anant.
bhala, bhale hi, wo kare tajna use turant॥
114
koi iimandar hai, athva beiman.
un unke avshesh se, hoti ye pahchan॥
115
sanpannata vipannata, inka hai na abhav.
sajjan ka bhushan raha, nyaynishthta bhaav॥
116
sarvanash mera hua, yon jane nirdhar.
chook nyaay path yadi hua, man mein bura vichar॥
117
nyayvan dharmishth ki, nirdhanta avlok.
manega nahin hinta, buddhiman ka lok॥
118
sam rekha par ho tula, jyon tole saman.
bhushan mahanubhav ka, paksh na lena maan॥
119
kahna sidha vachan hai, madhyasthata zarur.
driDhata se yadi ho gayi, chitt vakrata door॥
120
yadi rakhte par maal ko, apna maal saman.
vanaik kare vanijya to, vahi sahi tu jaan॥

स्रोत :
पुस्तक : तिरुक्कुरल : भाग 1 - धर्म-कांड
रचनाकार : तिरुवल्लुवर
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.