मेरे दोनों बच्चे सोते हैं
मेरे अगल-बगल
लड़ते हैं दोनों
मेरे गले में बाहें डालने
उसे पकड़ने
नेह से सोने के लिए
गला स्पर्श करे बग़ैर
आती ही नहीं उन्हे
नींद की एक हल्की-सी
झपकी भी
पूरा गला पकड़ने के चक्कर में
लड़ते हैं कई बार
ख़ासकर, बेटा मेरा
बच्चों की यह खींचतान
ले जाती है मुझे
मेरे बचपन की दहलीज़ तक
अच्छा लगता है मुझे
बच्चों के संग बच्चा बनकर
उनकी अठखेलियों
शरारतों में रमकर
उनके बचपन में
अपना बचपन जीकर।
(दो)
दूर नौकरी से
माँ जब आती है छुट्टी पर
अपने साथ ख़ूब चहक लाती है
ख़ुश हो जाता है सारा घर
अंदर और बाहर दोनों ओर से
मुझे भी मिल पाता है समय
छूटे ज़रुरी कार्यों को निपटाने का
और बच्चों को मिल पाती है
सही मायने में
ममता की घनी छाँव।
(तीन)
बच्चे बड़े हो रहे हैं
और मैं अब समझ पा रहा हूँ
नौकरीपेशा माँ-बाप के लिए
कितना मुश्किल होता है
बच्चों को संभालना
सही मायने में उनका
लालन-पालन करना
व्यस्तता भरे इस माहौल में
दफ़्तर और घर को
कर पाना अलग-अलग
दे पाना एक लंबा-सा सुकून
उस आपाधापी में।
mere donon bachche sote hain
mere agal bagal
laDte hain donon
mere gale mein bahen Dalne
use pakaDne
neh se sone ke liye
gala sparsh kare baghair
aati hi nahin unhe
neend ki ek halki si
jhapki bhi
pura gala pakaDne ke chakkar mein
laDte hain kai baar
khaskar, beta mera
bachchon ki ye khinchtan
le jati hai mujhe
mere bachpan ki dahliz tak
achchha lagta hai mujhe
bachchon ke sang bachcha bankar
unki athkheliyon
shararton mein ramkar
unke bachpan mein
apna bachpan jikar.
door naukari se
maan jab aati hai chhutti par
apne saath khoob chahak lati hai
khush ho jata hai sara ghar
andar aur bahar donon or se
mujhe bhi mil pata hai samay
chhute zaruri karyon ko niptane ka
aur bachchon ko mil pati hai
sahi mayne mein
mamta ki ghani chhaanv.
bachche baDe ho rahe hain
aur main ab samajh pa raha hoon
naukripesha maan baap ke liye
kitna mushkil hota hai
bachchon ko sambhalna
sahi mayne mein unka
lalan palan karna
vyastata bhare is mahaul mein
daftar aur ghar ko
kar pana alag alag
de pana ek lamba sa sukun
us apadhapi mein.
mere donon bachche sote hain
mere agal bagal
laDte hain donon
mere gale mein bahen Dalne
use pakaDne
neh se sone ke liye
gala sparsh kare baghair
aati hi nahin unhe
neend ki ek halki si
jhapki bhi
pura gala pakaDne ke chakkar mein
laDte hain kai baar
khaskar, beta mera
bachchon ki ye khinchtan
le jati hai mujhe
mere bachpan ki dahliz tak
achchha lagta hai mujhe
bachchon ke sang bachcha bankar
unki athkheliyon
shararton mein ramkar
unke bachpan mein
apna bachpan jikar.
door naukari se
maan jab aati hai chhutti par
apne saath khoob chahak lati hai
khush ho jata hai sara ghar
andar aur bahar donon or se
mujhe bhi mil pata hai samay
chhute zaruri karyon ko niptane ka
aur bachchon ko mil pati hai
sahi mayne mein
mamta ki ghani chhaanv.
bachche baDe ho rahe hain
aur main ab samajh pa raha hoon
naukripesha maan baap ke liye
kitna mushkil hota hai
bachchon ko sambhalna
sahi mayne mein unka
lalan palan karna
vyastata bhare is mahaul mein
daftar aur ghar ko
kar pana alag alag
de pana ek lamba sa sukun
us apadhapi mein.
स्रोत :
रचनाकार : पवन चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.