मेरे कंठ ने अभी जिस
सुगंधित-कोमल लोकगीत का
स्पर्श पाया। वह एक मेहनतकश सुंदर स्त्री के
होंठ से फूटा है पहली बार।
इस गीत में जो घास-गंध है,
पानी-सी कोमलता, आकाश जितना अथाहपन
और हरी-भरी धरती की आकांक्षा
स्वप्न की सुंदर जगह और यथार्थ से
जूझने की इतनी ताक़त। इन सबसे
लगता है कि स्त्री ही रच सकती है
ऐसा गीत।
लय की मिठास के साथ
गीत में धीरज का निर्वाह
बढ़ा देता है और विश्वास
कि मेहनतकश सुंदर स्त्री ही
सिरज सकती है यह गीत
स्त्रियाँ ही जिसे सँजोकर लाई हैं
इतनी दूर!
mere kanth ne abhi jis
sugandhit komal lokgit ka
sparsh paya wo ek mehanatkash sundar istri ke
honth se phuta hai pahli bar
is geet mein jo ghas gandh hai,
pani si komalta, akash jitna athahpan
aur hari bhari dharti ki akanksha
swapn ki sundar jagah aur yatharth se
jujhne ki itni taqat in sabse
lagta hai ki istri hi rach sakti hai
aisa geet
lai ki mithas ke sath
geet mein dhiraj ka nirwah
baDha deta hai aur wishwas
ki mehanatkash sundar istri hi
siraj sakti hai ye geet
striyan hi jise sanjokar lai hain
itni door!
mere kanth ne abhi jis
sugandhit komal lokgit ka
sparsh paya wo ek mehanatkash sundar istri ke
honth se phuta hai pahli bar
is geet mein jo ghas gandh hai,
pani si komalta, akash jitna athahpan
aur hari bhari dharti ki akanksha
swapn ki sundar jagah aur yatharth se
jujhne ki itni taqat in sabse
lagta hai ki istri hi rach sakti hai
aisa geet
lai ki mithas ke sath
geet mein dhiraj ka nirwah
baDha deta hai aur wishwas
ki mehanatkash sundar istri hi
siraj sakti hai ye geet
striyan hi jise sanjokar lai hain
itni door!
स्रोत :
रचनाकार : प्रेमशंकर शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.