हम आते हैं प्रतीक्षा करते हैं
हम बैठते हैं प्रतीक्षा करते हैं
प्रतीक्षा की चोर चाल में आते हैं
बैठते हैं हम
हम प्रतीक्षा करते हैं बैठते हैं कुर्सी की नींद में
नींद में प्रतीक्षा करती लकड़ी की आग में
बैठते हैं हम
पत्रिकाओं में चाय बेचती लड़की से मारते हैं गप्पें
और अंत में न चाहते हुए भी माँग लेते हैं उससे
एक प्याली चाय
किसी पृष्ठ पर धीमी गति से सुबह-सुबह दौड़ती लड़की के
जूतों से करते हैं मिलान अपने जूतों का
और प्रतीक्षा करते हैं
और इस समय यह सोचना ग़लत नहीं लगता
कि लाइब्रेरी में होना चाहिए अलग से एक शानदार कमरा
कि पलंग पर सोकर की जा सके प्रतीक्षा
कि स्क्रीन हो अलग से जिस पर चले कोई बेहतर फ़िल्म
प्रतीक्षा की
हम प्रतीक्षा करते हैं इसलिए ज़िंदा हैं
hum aate hain pratiksha karte hain
hum baithte hain pratiksha karte hain
pratiksha ki chor chaal mein aate hain
baithte hain hum
hum pratiksha karte hain baithte hain kursi ki neend mein
neend mein pratiksha karti lakDi ki aag mein
baithte hain hum
patrikaon mein chay bechti laDki se marte hain gappen
aur ant mein na chahte hue bhi mang lete hain usse
ek pyali chay
kisi prishth par dhimi gati se subah subah dauDti laDki ke
juton se karte hain milan apne juton ka
aur pratiksha karte hain
aur is samay ye sochna ghalat nahin lagta
ki library mein hona chahiye alag se ek shanadar kamra
ki palang par sokar ki ja sake pratiksha
ki screen ho alag se jis par chale koi behtar film
pratiksha ki
hum pratiksha karte hain isliye zinda hain

स्रोत :
रचनाकार : महेश आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.