उलझी-पुलझी झाड़ी लाखों साल पुरानी
उस पर बैठी ललमुनियाँ थी बड़ी सयानी
इस टहनी से उस टहनी पर फुदक रही थी
टहनी में काँटे, काँटों में टीस भरी थी
लगती थी सूखी झाड़ी पर हरी-भरी थी
फूल खिले थे फूलों में, मुरझाया था मन
तौला मैंने फिर-फिर तौला अपने मन को
लिखा-मिटाया, लिखा-मिटाया फिर जीवन को
ख़ुद को ठोक बजाया, पत्थर पे दे मारा
हारी बाज़ी जीती, जीती बाज़ी हारा
साधा फिर-फिर माया ठगिनी के ठनगन को
अनदेखे ही आँखें दे दीं इनको उनको
फिर भी ख़ालिस बचा ले गया मैं बचपन को
झाड़ी में ललमुनियाँ
ललमुनियाँ में दुनिया
दुनिया में जीवन
जीवन में हँसता बचपन
बचपन की आँखों के हँसते नील गगन में
देखा चली जा रही थी उड़ती ललमुनियाँ
टूटी-फूटी भाषा अगड़म-बगड़म बानी
ये दुनिया ललमुनियाँ की ही कारस्तानी
कौआ-कोयल, तोता-मैना की शैतानी
झूठमूठ की भरो हुँकारी
झूठमूठ की कथा-कहानी।
uljhi puljhi jhaDi lakhon sal purani
us par baithi lalamuniyan thi baDi sayani
is tahni se us tahni par phudak rahi thi
tahni mein kante, kanton mein tees bhari thi
lagti thi sukhi jhaDi par hari bhari thi
phool khile the phulon mein, murjhaya tha man
taula mainne phir phir taula apne man ko
likha mitaya, likha mitaya phir jiwan ko
khu ko thok bajaya, patthar pe de mara
hari bazi jiti, jiti bazi hara
sadha phir phir maya thagini ke thangan ko
andekhe hi ankhen de deen inko unko
phir bhi khalis bacha le gaya main bachpan ko
jhaDi mein lalamuniyan
lalamuniyan mein duniya
duniya mein jiwan
jiwan mein hansta bachpan
bachpan ki ankhon ke hanste neel gagan mein
dekha chali ja rahi thi uDti lalamuniyan
tuti phuti bhasha agDam bagDam bani
ye duniya lalamuniyan ki hi karastani
kaua koel, tota maina ki shaitani
jhuthmuth ki bharo hunkari
jhuthmuth ki katha kahani

स्रोत :
पुस्तक : एक पेड़ छतनार (पृष्ठ 64)
रचनाकार : दिनेश कुमार शुक्ल
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.