उत्तरी ध्रुव के समंदर में तैरते
बर्फ़ के एक विशाल पहाड़ पर खड़ी हूँ
तुमसे हज़ारों मील दूर
बीते वर्षों का सारा एकांत ख़ुद में समेटे।
यहाँ,
हर रात सूर्योदय की उतनी ही प्रतीक्षा करती हूँ,
जितनी प्रेम की।
रात के तीसरे पहर जब बर्फ़ का यह पहाड़
तैरते-तैरते नाचने-सा लगता है
तूफ़ानी समंदर में,
तब अक्सर लहरों के शोर से
नींद टूट जाती है मेरी।
लेकिन अंतिम स्वप्न की स्मृति
इन बर्फ़ीली अँधेरी रातों में भी
मेरा पीछा नहीं छोड़ती।
उस आख़िरी ख़्वाब में,
आसमान का एक टुकड़ा दिखाई पड़ता है।
हिंदुस्तान के उत्तर में
पराशर झील से सिर्फ़ थोड़ा आगे,
हम हरी घास पर लेटे हुए
आसमान का वही साझा टुकड़ा देख रहे हैं।
मैं भरी हुई हूँ इतना कि रो रही हूँ ख़ुशी से।
ख़्वाब में,
जब मुझे लाड़ आता है तुम पर
तो जम चुका नारियल का तेल पिघला कर
तुम्हारे बालों में लगाती हूँ।
ख़ूब हँसती हूँ और कहती हूँ :
'कलमों में चाँदी के तार झाँकने लगे हैं अब तुम्हारी'
हम इतना हँसते हैं फिर जैसे रो रहे हों।
लेकिन लाड़ के उस नर्म ख़्वाब से बाहर,
असल में तो मैं
यहाँ बर्फ़ के इस पहाड़ पर हूँ!
यहाँ,
काँच से दिखने वाले
बर्फ़ के इस टुकड़े के
सूरज में पिघल कर
पानी हो जाने तक ही है मेरी उम्र बाक़ी।
इसलिए तो,
हर रात इस बर्फ़ के पिघल जाने की आकांक्षा में,
सूर्योदय की उतनी ही प्रतीक्षा करती हूँ
जितनी प्रेम की।
कभी-कभी समझ नहीं आता
कि मैं तुमसे लाड़ कर रही हूँ
या अपनी मृत्यु से?
uttari dhruw ke samandar mein tairte
barf ke ek wishal pahaD par khaDi hoon
tumse hazaron meel door
bite warshon ka sara ekant khu mein samete
yahan,
har raat suryoday ki utni hi pratiksha karti hoon,
jitni prem ki
raat ke tisre pahar jab barf ka ye pahaD
tairte tairte nachne sa lagta hai
tufani samandar mein,
tab aksar lahron ke shor se
neend toot jati hai meri
lekin antim swapn ki smriti
in barfili andheri raton mein bhi
mera pichha nahin chhoDti
us akhiri khwab mein,
asman ka ek tukDa dikhai paDta hai
hindustan ke uttar mein
parashar jheel se sirf thoDa aage,
hum hari ghas par lete hue
asman ka wahi sajha tukDa dekh rahe hain
main bhari hui hoon itna ki ro rahi hoon khushi se
khwab mein,
jab mujhe laD aata hai tum par
to jam chuka nariyal ka tel pighla kar
tumhare balon mein lagati hoon
khoob hansti hoon aur kahti hoon ha
kalmon mein chandi ke tar jhankne lage hain ab tumhari
hum itna hanste hain phir jaise ro rahe hon
lekin laD ke us narm khwab se bahar,
asal mein to main
yahan barf ke is pahaD par hoon!
yahan,
kanch se dikhne wale
barf ke is tukDe ke
suraj mein pighal kar
pani ho jane tak hi hai meri umr baqi
isliye to,
har raat is barf ke pighal jane ki akanksha mein,
suryoday ki utni hi pratiksha karti hoon
jitni prem ki
kabhi kabhi samajh nahin aata
ki main tumse laD kar rahi hoon
ya apni mirtyu se?
uttari dhruw ke samandar mein tairte
barf ke ek wishal pahaD par khaDi hoon
tumse hazaron meel door
bite warshon ka sara ekant khu mein samete
yahan,
har raat suryoday ki utni hi pratiksha karti hoon,
jitni prem ki
raat ke tisre pahar jab barf ka ye pahaD
tairte tairte nachne sa lagta hai
tufani samandar mein,
tab aksar lahron ke shor se
neend toot jati hai meri
lekin antim swapn ki smriti
in barfili andheri raton mein bhi
mera pichha nahin chhoDti
us akhiri khwab mein,
asman ka ek tukDa dikhai paDta hai
hindustan ke uttar mein
parashar jheel se sirf thoDa aage,
hum hari ghas par lete hue
asman ka wahi sajha tukDa dekh rahe hain
main bhari hui hoon itna ki ro rahi hoon khushi se
khwab mein,
jab mujhe laD aata hai tum par
to jam chuka nariyal ka tel pighla kar
tumhare balon mein lagati hoon
khoob hansti hoon aur kahti hoon ha
kalmon mein chandi ke tar jhankne lage hain ab tumhari
hum itna hanste hain phir jaise ro rahe hon
lekin laD ke us narm khwab se bahar,
asal mein to main
yahan barf ke is pahaD par hoon!
yahan,
kanch se dikhne wale
barf ke is tukDe ke
suraj mein pighal kar
pani ho jane tak hi hai meri umr baqi
isliye to,
har raat is barf ke pighal jane ki akanksha mein,
suryoday ki utni hi pratiksha karti hoon
jitni prem ki
kabhi kabhi samajh nahin aata
ki main tumse laD kar rahi hoon
ya apni mirtyu se?
स्रोत :
रचनाकार : प्रियंका दुबे
प्रकाशन : समकालीन जनमत
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.