मेरे दस सिर हैं
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ
मेरे बीस हाथ हैं
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ
मैंने सीता का अपहरण किया है
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ
सोने की लंका मेरी राजधानी है
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ
मुझे ख़ाक में मिला दिया जाएगा
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ
लेकिन मेरी तुलना रावण से करना भी ज़्यादती है
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ
मेरी क्या हैसियत कि
मैं अट्टहास कर सकूँ
मेरी क्या हस्ती
कि मैं सीता का अपहरण करने की सोच भी सकूँ
मैं हूँ क्या
जो सोने की लंका में रह सकूँ
मैंने ऐसा किया क्या है
जो तुलसी के राम के हाथों मरने की कल्पना भी कर सकूँ!
क्योंकि मैं एक मुसलमान हूँ।
mere das sir hain
kyonki main ek musalman hoon
mere bees hath hain
kyonki main ek musalman hoon
mainne sita ka apharn kiya hai
kyonki main ek musalman hoon
sone ki lanka meri rajdhani hai
kyonki main ek musalman hoon
mujhe khak mein mila diya jayega
kyonki main ek musalman hoon
lekin meri tulna rawan se karna bhi zyadti hai
kyonki main ek musalman hoon
meri kya haisiyat ki
main attahas kar sakun
meri kya hasti
ki main sita ka apharn karne ki soch bhi sakun
main hoon kya
jo sone ki lanka mein rah sakun
mainne aisa kiya kya hai
jo tulsi ke ram ke hathon marne ki kalpana bhi kar sakun!
kyonki main ek musalman hoon
mere das sir hain
kyonki main ek musalman hoon
mere bees hath hain
kyonki main ek musalman hoon
mainne sita ka apharn kiya hai
kyonki main ek musalman hoon
sone ki lanka meri rajdhani hai
kyonki main ek musalman hoon
mujhe khak mein mila diya jayega
kyonki main ek musalman hoon
lekin meri tulna rawan se karna bhi zyadti hai
kyonki main ek musalman hoon
meri kya haisiyat ki
main attahas kar sakun
meri kya hasti
ki main sita ka apharn karne ki soch bhi sakun
main hoon kya
jo sone ki lanka mein rah sakun
mainne aisa kiya kya hai
jo tulsi ke ram ke hathon marne ki kalpana bhi kar sakun!
kyonki main ek musalman hoon
स्रोत :
रचनाकार : विष्णु नागर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.