जल गई है सब फ़सल तो पूछती अब आग क्या
राख़ पर पसरा है 'होरी', सोचता निज भाग क्या
ड्योढ़ी पर बैठी निहारे दूर से आती सड़क
'बंतो' की आँखों में सब है, जोग क्या बैराग क्या
खेत सारे सूद में देकर 'रघू' आया नगर
देखता है गाँव को मुड़-मुड़, लगी है लाग क्या
चाँद को मुँडेर से 'राधा' लगाए टक-टकी
इश्क़ के बीमार को दिखता है कोई दाग़ क्या
क्लास में हर साल जो आता था अव्वल 'मोहना'
पूछता रिक्शा लिए, 'चलना है मोतीबाग क्या'
किरणों के रथ से उतर क्या आएगा कोई कुँवर
सोचती है 'निर्मला', देहरी पे कुचड़े काग़ क्या
जब से सीमा पर हरी वर्दी पहन कर वो गए
घर में 'सूबेदारनी' के क्या दिवाली फ़ाग क्या
jal gai hai sab fasal to puchhti ab aag kya
raakh par pasra hai hori, sochta nij bhaag kya
DyoDhi par baithi nihare door se aati saDak
banto ki ankhon mein sab hai, jog kya bairag kya
khet sare sood mein dekar raghu aaya nagar
dekhta hai gaanv ko muD muD, lagi hai laag kya
chaand ko munDer se radha lagaye takatki
ishk ke bimar ko dikhta hai koi daag kya
class mein har saal jo aata tha avval mohana
puchhta rickshaw liye, chalna hai motibag kyaa
kirnon ke rath se utar kya ayega koi kunvar
sochti hai nirmala, dehri pe kuchDe kaag kya
jab se sima par hari vardi pahan kar wo gaye
ghar mein subedarni ke kya divali faag kya

स्रोत :
रचनाकार : गौतम राजऋषि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.