कितना पुख़्ता यक़ीन है विचारक का
कि एक-न-एक दिन
अंत होना ही है
आततायी का
कि जलेगी ही उसकी
सोने की लंका
धू-धू कर
कितना पुख़्ता यक़ीन है कवि का
कि एक-न-एक दिन
सबकी ज़ुबान पर होगी
उसकी कविता
कितना पुख़्ता यक़ीन है क़लम का
कि वह जब भी लिखेगी
सच ही लिखेगी
कितना पुख़्ता यक़ीन है एक माँ का
कि उसकी उम्मीदों पर
सौ फीसदी खरा उतरेगा
उसका बेटा
कितना पुख़्ता यक़ीन है उस स्त्री का
कि एक-न-एक दिन
अवश्य ही फूटेगा
पाप का घड़ा
जो बढ़ते-बढ़ते
थोड़ा ही रह गया है
छोटा
पृथ्वी से
कितना पुख़्ता यक़ीन है प्रेमी का
कि उसे छोड़कर भागेगी नहीं
उसकी प्रेमिका
कितना पुख़्ता यक़ीन है सब्जी काटने वाले चाकू का
जो मौक़ा पाते ही चीर देगा कलेजा
पापी का
कहो-कहो नागरिको! कितना पुख़्ता यक़ीन है
लोकतंत्र में
अपने मत का
कि इस बार चुन ही लोगे
अच्छा नेता
कि बनेगी ही
एक अच्छी सरकार!
kitna pukhta yaqin hai vicharak ka
ki ek na ek din
ant hona hi hai
atatayi ka
ki jalegi hi uski
sone ki lanka
dhu dhu kar
kitna pukhta yaqin hai kavi ka
ki ek na ek din
sabki zuban par hogi
uski kavita
kitna pukhta yaqin hai qalam ka
ki wo jab bhi likhegi
sach hi likhegi
kitna pukhta yaqin hai ek maan ka
ki uski ummidon par
sau phisdi khara utrega
uska beta
kitna pukhta yaqin hai us stri ka
ki ek na ek din
avashya hi phutega
paap ka ghaDa
jo baDhte baDhte
thoDa hi rah gaya hai
chhota
prithvi se
kitna pukhta yaqin hai premi ka
ki use chhoDkar bhagegi nahin
uski premika
kitna pukhta yaqin hai sabji katne vale chaku ka
jo mauka pate hi cheer dega kaleja
papi ka
kaho kaho nagariko! kitna pukhta yaqin hai
loktantr men
apne mat ka
ki is baar chun hi loge
achchha neta
ki banegi hi
ek achchhi sarkar!
kitna pukhta yaqin hai vicharak ka
ki ek na ek din
ant hona hi hai
atatayi ka
ki jalegi hi uski
sone ki lanka
dhu dhu kar
kitna pukhta yaqin hai kavi ka
ki ek na ek din
sabki zuban par hogi
uski kavita
kitna pukhta yaqin hai qalam ka
ki wo jab bhi likhegi
sach hi likhegi
kitna pukhta yaqin hai ek maan ka
ki uski ummidon par
sau phisdi khara utrega
uska beta
kitna pukhta yaqin hai us stri ka
ki ek na ek din
avashya hi phutega
paap ka ghaDa
jo baDhte baDhte
thoDa hi rah gaya hai
chhota
prithvi se
kitna pukhta yaqin hai premi ka
ki use chhoDkar bhagegi nahin
uski premika
kitna pukhta yaqin hai sabji katne vale chaku ka
jo mauka pate hi cheer dega kaleja
papi ka
kaho kaho nagariko! kitna pukhta yaqin hai
loktantr men
apne mat ka
ki is baar chun hi loge
achchha neta
ki banegi hi
ek achchhi sarkar!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.