किसी स्त्री की प्रथम आसक्ति
उसके विषाद को बूझ सकने वाले
पुरुष की इच्छा तक तो होनी ही चाहिए
विश्राम कक्ष के सिरहाने बैठ
अपने अंतर्मन की पंखुड़ियों को स्वयं खोल दे वो
उसके समक्ष!
ऐसे निरायास पुरुष की कामना
कहीं कोई अपराध तो नहीं?
सत्ता को–पितृ/मातृ
वाद को-नारी/पुरुष, में विभक्त करने से पूर्व
केवल एक न्यून विचार अवश्य करें कि
आपके शब्दों ने आपके संबंध के मध्य लगाव उत्पन्न किया है या दुराव
अग्नि के चक्कर से मिले वैवाहिक स्टाँप से
उकता चुकी स्त्री का चेहरा सौंदर्यपूर्ण
और आत्मा, सड़े हुए फफूँद की भाँति गली हो
तो क्या?
आमंत्रण के भोज तक सीमीत तुम्हारा समाज
न्याय दिलाने को आगे आएगा
क्या तुम्हारी स्त्री के प्रतीक्षा मात्र का कर्ज़ भी
तुम्हारे द्वारा भेंट किया कोई आभूषण चुका सकता है?
अगर तुम्हारा उत्तर—हाँ है,
तो मेरे एक प्रश्न का जवाब दो—
उसके पिता के दिए दहेज के बदले
तुम उसके पति हुए या दास?
kisi istri ki pratham asakti
uske vishad ko boojh sakne vale
purush ki ichha tak to honi hi chahiye
vishram kaksh ke sirhane baith
apne antarman ki pankhuDiyon ko svayan khol de wo
uske samaksh!
aise nirayas purush ki kamna
kahin koi apradh to nahi?
satta ko–pitr/matri
vaad ko nari/purush, mein vibhakt karne se poorv
keval ek nyoon vichar avashy karen ki
aapke shabdon ne aapke sambandh ke madhya lagav utpann kiya hai ya durav
agni ke chakkar se mile vaivahik staanp se
ukta chuki istri ka chehra saundarypurn
aur aatma, saDe hue phaphund ki bhanti gali ho
to kyaa?
amantran ke bhoj tak simit tumhara samaj
nyaay dilane ko aage ayega
kya tumhari istri ke pratiksha maatr ka karz bhi
tumhare dvara bhent kiya koi abhushan chuka sakta hai?
agar tumhara uttar—han hai,
to mere ek parashn ka javab do—
uske pita ke diye dahej ke badle
tum uske pati hue ya daas?
kisi istri ki pratham asakti
uske vishad ko boojh sakne vale
purush ki ichha tak to honi hi chahiye
vishram kaksh ke sirhane baith
apne antarman ki pankhuDiyon ko svayan khol de wo
uske samaksh!
aise nirayas purush ki kamna
kahin koi apradh to nahi?
satta ko–pitr/matri
vaad ko nari/purush, mein vibhakt karne se poorv
keval ek nyoon vichar avashy karen ki
aapke shabdon ne aapke sambandh ke madhya lagav utpann kiya hai ya durav
agni ke chakkar se mile vaivahik staanp se
ukta chuki istri ka chehra saundarypurn
aur aatma, saDe hue phaphund ki bhanti gali ho
to kyaa?
amantran ke bhoj tak simit tumhara samaj
nyaay dilane ko aage ayega
kya tumhari istri ke pratiksha maatr ka karz bhi
tumhare dvara bhent kiya koi abhushan chuka sakta hai?
agar tumhara uttar—han hai,
to mere ek parashn ka javab do—
uske pita ke diye dahej ke badle
tum uske pati hue ya daas?
स्रोत :
रचनाकार : मनीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.