बारिश को देखते हुए
देख रही हूँ भीगता हुआ दिन
भीग रहे आदमी और पेड़
सड़क और गलियाँ, सरकारी इमारतें
उन पर लगे सरकारी झंडे
बड़े-बड़े होर्डिंग
नेताओं की विशाल क़द मूर्तियाँ
शहर का अकेला नीला पुल
और उदास नदी भी
इसी बीच एक भीगी हुई चिड़िया
ढूँढती है छुपने की जगह
और पेड़ की सबसे ऊँची टहनी पर
बैठ कर देखती है बारिश
उसकी आँखों का अचरज उतर आया है
मेरी आँखों में
मैं किसी और दिन की तलाश में
देखती हूँ आज का भीगा हुआ दिन
याद आता है खूँटी पर लटका घर का अकेला छाता
भीगे दिनों की सोहबत में वही रहा उपस्थित सदा
उसके होने से जाता रहा भ्रम अकेले होने का
वो भीगता रहा मेरी जगह
और मैं उसके सहारे ही पार करती रही
बाहर भीतर उग आए जंगल
बारिश के ही दिन थे
जब कहा किसी ने कि जाता हूँ
तो नदी में पानी अचानक बढ़ गया था
डूबने की आशंका में बैठी रही देर तक किनारे
और देखती रही जाते हुए को
भीगा हुआ मन और भरी हुई नदी
भला कहाँ रोकी जा सकती है!
barish ko dekhte hue
dekh rahi hoon bhigta hua din
bheeg rahe adami aur peD
saDak aur galiyan ,sarkari imarten
un par lage sarkari jhanDe,
baDe baDe horDing
netaon ki vishal qad murtiyan,
shahr ka akela nila pul
aur udaas nadi bhi,
isi beech ek bhigi hui chiDiya
DhunDhti hai chhupne ki jagah
aur peD ki sabse uunchi tahni par
baith kar dekhti hai barish,
uski ankhon ka achraj utar aaya hai
meri ankhon mein,
main kisi aur din ki talash mein
dekhti hoon aaj ka bhiga hua din
yaad aata hai khunti par latka ghar ka akela chhata
bhige dinon ki sohbat mein vahi raha upasthit sada
uske hone se jata raha bhram akele hone ka
wo bhigta raha meri jagah
aur main uske sahare hi paar karti rahi
bahar bhitar ug aaye jangal,
barish ke hi din the
jab kaha kisi ne ki jata hoon
to nadi mein pani achanak baDh gaya tha
Dubne ki ashanka mein baithi rahi der tak kinare
aur dekhti rahi jate hue ko
bhiga hua man aur bhari hui nadi
bhala kahan roki ja sakti hai!
barish ko dekhte hue
dekh rahi hoon bhigta hua din
bheeg rahe adami aur peD
saDak aur galiyan ,sarkari imarten
un par lage sarkari jhanDe,
baDe baDe horDing
netaon ki vishal qad murtiyan,
shahr ka akela nila pul
aur udaas nadi bhi,
isi beech ek bhigi hui chiDiya
DhunDhti hai chhupne ki jagah
aur peD ki sabse uunchi tahni par
baith kar dekhti hai barish,
uski ankhon ka achraj utar aaya hai
meri ankhon mein,
main kisi aur din ki talash mein
dekhti hoon aaj ka bhiga hua din
yaad aata hai khunti par latka ghar ka akela chhata
bhige dinon ki sohbat mein vahi raha upasthit sada
uske hone se jata raha bhram akele hone ka
wo bhigta raha meri jagah
aur main uske sahare hi paar karti rahi
bahar bhitar ug aaye jangal,
barish ke hi din the
jab kaha kisi ne ki jata hoon
to nadi mein pani achanak baDh gaya tha
Dubne ki ashanka mein baithi rahi der tak kinare
aur dekhti rahi jate hue ko
bhiga hua man aur bhari hui nadi
bhala kahan roki ja sakti hai!
स्रोत :
पुस्तक : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
रचनाकार : सीमा सिंह
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.