अनुचरी हूँ
बलपूर्वक बंद किए हैं मैंने अपने ओंठ
दमखम के नाम पर दो हथेलियाँ हैं
जीवन एक कूटप्रश्न से बढ़कर कुछ नहीं
मैं पौ फटने की वेला हूँ
दुपहर तक के ईंधन की संभावना लिए
निरुद्देश्य रात्रि तक अनुपस्थित रहती हूँ दृश्य में
क्या रात्रि की आँख में है मेरा आलय
मैं मयूरभंज की एक मुद्रा हूँ
एक मुख्यमंत्री के सम्मुख किसी चरित्र को दर्शाती एक तकनीक भर
मैं एक चुंबन की मोहर हूँ
एक तितली के स्वप्न में पुष्प बनकर अडोल पड़ी हूँ
दीवार घड़ी का मौन हूँ
कई युद्ध, कई जन्म, कई मरण, कई कर्फ़्यू देखने को नियमबद्ध हूँ
क्या किसी नियम की आँख में है मेरा आलय
धीरे-धीरे मरने की प्रक्रिया हूँ
चारों तरफ़ खड़े लोगों को एक निरर्थक प्रतीक्षा कराती एक देह भर
गुलेल से निकला एक कंकड़ हूँ
तुम्हारे सीने पर लगने वाली चोट से निकली आह का पानी
क्या किसी प्रतीक्षा करती हुई आँख में है मेरा आलय
कितनी चीज़ें नष्ट हुई हैं मुझसे
दिमाग़ में चलती है एक पवनचक्की
आँखें दिशाओं को उठाकर मुट्ठी में बंद कर देती है हठपूर्वक
औचक ही टूट जाती है नींद किसी काग़ज़ के फड़फड़ से
क्या किसी नींद भरी आँख में है मेरा आलय
मैं उठी थी एक बार जंगल बचाने की उम्मीद बनकर
मेरे एक हाथ में धूँ धूँ की ध्वनि है
एक हाथ में कुछ कविताएँ
क्या कविता पढ़ती किसी आँख में है मेरा आलय
कहो देव,
किस आँख में है मेरा आलय!
anuchri hoon
balpurwak band kiye hain mainne apne onth
damkham ke nam par do hatheliyan hain
jiwan ek kutaprashn se baDhkar kuch nahin
main pau phatne ki wela hoon
duphar tak ke indhan ki sambhawna liye
niruddeshy ratri tak anupasthit rahti hoon drishya mein
kya ratri ki ankh mein hai mera aalay
main mayurbhanj ki ek mudra hoon
ek mukhymantri ke sammukh kisi charitr ko darshati ek taknik bhar
main ek chumban ki mohar hoon
ek titli ke swapn mein pushp bankar aDol paDi hoon
diwar ghaDi ka maun hoon
kai yudh, kai janm, kai marn, kai curfew dekhne ko niyambaddh hoon
kya kisi niyam ki ankh mein hai mera aalay
dhire dhire marne ki prakriya hoon
charon taraf khaDe logon ko ek nirarthak pratiksha karati ek deh bhar
gulel se nikla ek kankaD hoon
tumhare sine par lagne wali chot se nikli aah ka pani
kya kisi pratiksha karti hui ankh mein hai mera aalay
kitni chizen nasht hui hain mujhse
dimagh mein chalti hai ek pawanchakki
ankhen dishaon ko uthakar mutthi mein band kar deti hai hathpurwak
auchak hi toot jati hai neend kisi kaghaz ke phaDphaD se
kya kisi neend bhari ankh mein hai mera aalay
main uthi thi ek bar jangal bachane ki ummid bankar
mere ek hath mein dhoon dhoon ki dhwani hai
ek hath mein kuch kawitayen
kya kawita paDhti kisi ankh mein hai mera aalay
kaho dew,
kis ankh mein hai mera alay!

स्रोत :
रचनाकार : जोशना बैनर्जी आडवानी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.