बिसेसर आदमी ज़ात का है
और इतनी ही है उसकी दुनिया
कि हर फ़सल पकने पर
उसकी नियति कर लेती है आत्महत्या
टुकड़ों में बँटी दुनिया में से
मिला उसे ख़ाली उजाड़ खेत
जो हर साल बरसात में माथे भर जल में
डूब जाता है भीतर तक।
दुनिया उसके दुख का उपाय न ढूँढ़ सकी
ऐसा न हो सका कि मुआवज़े की जगह
बारह जने रातों-रात उछाह आए
उसके खेत से सारा पानी या भर दें इतनी मिट्टी
कि उसे समतल ज़मीन मिल जाए।
उस दुनिया में मिट्टी की कमी न थी
कमी न थी न ही कोड़ने वाले की
और दृश्य अभी तक वहीं है स्थित
निचली सतह थोड़ी और है नीचे
ऊपरी सतह पिछली बरसात में
थोड़ी और ऊँची कर दी गई है
दुनिया अब भी पसरी हुई है
छोटे-छोटे इतने टुकड़ों में…
समतल भूमि एक स्थापित भ्रम है।
बिसेसर के घर चलें हम पाँच-सात
उसके घर जीम लें समय का अदहन
उतार लें हलक़ में साग-भात
उसकी टूटी छत को मढ़ आएँ पुआल से
देख आएँ उसकी मुस्कान से फूटती उजास को
जान आएँ आदमी की ज़ात
सब ज़ात का भ्रम अलाव में फूँक-ताप कर
बिसेसर रोज़ फाँकता है चना-गुड़
चबाता है नए धान का चूड़ा
कभी चलें हम इकट्ठे जने पाँच-सात
थोड़ा-थोड़ा आदमी हों आएँ।
उसके गाँव में हर जाड़े गाती है सरसों
हर साल ख़ुशहाल फ़सल का गीत
उसके गाँव से कई कोस दूर शहर में है नदी
जिसमें शहर छोड़ देता है अपनी मलिनता
हर दिन बिना नागा किए
गाँव की नहर में अभी तक मलिन नहीं दीखता है चेहरा
हर साल गाँव में चूता है महुआ पेड़ से
हर साल बिसेसर बीनता है कुछ महुआ
जो सड़क पर गिरा
कुछ जो किनारे निचले बाहे की गोद में।
भाई बिसेसर! तुम ले आते हो मुझे
उस बड़े से बड़ के पेड़ के पास
हर बार
और हर बार
मैं जड़ों से पूछता हूँ सवाल
कि दुनिया अभी तक
इतनी उखड़ी-बिखरी क्यों है
क्या नहीं हैं इस दुनिया में और
बहुत और मेहनतकश कंधे जो
हर दिन बना दें दुनिया को थोड़ा बराबर कल से
थोड़ा जुड़ जाए अधिक कल से
दुनिया का छिटका हुआ छोटा-छोटा हिस्सा।
हम क्या हो पाए
अगर थोड़ा आदमी न हो पाए
कि जब कल वक़्त पूछे हमसे ये सवाल
कि क्या हम थे उस वारदात के वक़्त
हम स्वतः न चले जाएँ मूक मुद्रा में
कह सके कि आदमी जब आदमी न था
मूकदर्शक भी न थे आदमी के खोल में!
कह सकें हम सो रहे थे
हम जाग रहे थे
रात-दिन की मर्यादा भूल कर।
bisesar adami zat ka hai
aur itni hi hai uski duniya
ki har fasal pakne par
uski niyti kar leti hai atmahatya
tukDon mein banti duniya mein se
mila use khali ujaD khet
jo har sal barsat mein mathe bhar jal mein
Doob jata hai bhitar tak
duniya uske dukh ka upay na DhoonDh saki
aisa na ho saka ki muawze ki jagah
barah jane raton raat uchhah aaye
uske khet se sara pani ya bhar den itni mitti
ki use samtal zamin mil jaye
us duniya mein mitti ki kami na thi
kami na thi na hi koDne wale ki
aur drishya abhi tak wahin hai sthit
nichli satah thoDi aur hai niche
upri satah pichhli barsat mein
thoDi aur unchi kar di gai hai
duniya ab bhi pasri hui hai
chhote chhote itne tukDon mein…
samtal bhumi ek sthapit bhram hai
bisesar ke ghar chalen hum panch sat
uske ghar jeem len samay ka adhan
utar len halaq mein sag bhat
uski tuti chhat ko maDh ayen pual se
dekh ayen uski muskan se phutti ujas ko
jaan ayen adami ki zat
sab zat ka bhram alaw mein phoonk tap kar
bisesar roz phankata hai chana guD
chabata hai nae dhan ka chuDa
kabhi chalen hum ikatthe jane panch sat
thoDa thoDa adami hon ayen
uske ganw mein har jaDe gati hai sarson
har sal khushhal fasal ka geet
uske ganw se kai kos door shahr mein hai nadi
jismen shahr chhoD deta hai apni malinta
har din bina naga kiye
ganw ki nahr mein abhi tak malin nahin dikhta hai chehra
har sal ganw mein chuta hai mahua peD se
har sal bisesar binta hai kuch mahua
jo saDak par gira
kuch jo kinare nichle bahe ki god mein
bhai bisesar! tum le aate ho mujhe
us baDe se baD ke peD ke pas
har bar
aur har bar
main jaDon se puchhta hoon sawal
ki duniya abhi tak
itni ukhDi bikhri kyon hai
kya nahin hain is duniya mein aur
bahut aur mehanatkash kandhe jo
har din bana den duniya ko thoDa barabar kal se
thoDa juD jaye adhik kal se
duniya ka chhitka hua chhota chhota hissa
hum kya ho pae
agar thoDa adami na ho pae
ki jab kal waqt puchhe hamse ye sawal
ki kya hum the us wardat ke waqt
hum swatः na chale jayen mook mudra mein
kah sake ki adami jab adami na tha
mukdarshak bhi na the adami ke khol mein!
kah saken hum so rahe the
hum jag rahe the
raat din ki maryada bhool kar
bisesar adami zat ka hai
aur itni hi hai uski duniya
ki har fasal pakne par
uski niyti kar leti hai atmahatya
tukDon mein banti duniya mein se
mila use khali ujaD khet
jo har sal barsat mein mathe bhar jal mein
Doob jata hai bhitar tak
duniya uske dukh ka upay na DhoonDh saki
aisa na ho saka ki muawze ki jagah
barah jane raton raat uchhah aaye
uske khet se sara pani ya bhar den itni mitti
ki use samtal zamin mil jaye
us duniya mein mitti ki kami na thi
kami na thi na hi koDne wale ki
aur drishya abhi tak wahin hai sthit
nichli satah thoDi aur hai niche
upri satah pichhli barsat mein
thoDi aur unchi kar di gai hai
duniya ab bhi pasri hui hai
chhote chhote itne tukDon mein…
samtal bhumi ek sthapit bhram hai
bisesar ke ghar chalen hum panch sat
uske ghar jeem len samay ka adhan
utar len halaq mein sag bhat
uski tuti chhat ko maDh ayen pual se
dekh ayen uski muskan se phutti ujas ko
jaan ayen adami ki zat
sab zat ka bhram alaw mein phoonk tap kar
bisesar roz phankata hai chana guD
chabata hai nae dhan ka chuDa
kabhi chalen hum ikatthe jane panch sat
thoDa thoDa adami hon ayen
uske ganw mein har jaDe gati hai sarson
har sal khushhal fasal ka geet
uske ganw se kai kos door shahr mein hai nadi
jismen shahr chhoD deta hai apni malinta
har din bina naga kiye
ganw ki nahr mein abhi tak malin nahin dikhta hai chehra
har sal ganw mein chuta hai mahua peD se
har sal bisesar binta hai kuch mahua
jo saDak par gira
kuch jo kinare nichle bahe ki god mein
bhai bisesar! tum le aate ho mujhe
us baDe se baD ke peD ke pas
har bar
aur har bar
main jaDon se puchhta hoon sawal
ki duniya abhi tak
itni ukhDi bikhri kyon hai
kya nahin hain is duniya mein aur
bahut aur mehanatkash kandhe jo
har din bana den duniya ko thoDa barabar kal se
thoDa juD jaye adhik kal se
duniya ka chhitka hua chhota chhota hissa
hum kya ho pae
agar thoDa adami na ho pae
ki jab kal waqt puchhe hamse ye sawal
ki kya hum the us wardat ke waqt
hum swatः na chale jayen mook mudra mein
kah sake ki adami jab adami na tha
mukdarshak bhi na the adami ke khol mein!
kah saken hum so rahe the
hum jag rahe the
raat din ki maryada bhool kar
स्रोत :
रचनाकार : उत्कर्ष
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.