दीवारों पर पलस्तर पूरा हो गया है साहब
अब हम चलते हैं
आप पानी मारते रहना
पानी जितना रिसेगा
उतनी ही मज़बूत होगी दीवार
यह कहकर उस राजमिस्त्री ने
उस दिन की मज़दूरी के लिए
अपना हाथ आगे बढ़ाया
पिता ने पैसे थमाए और
धीरे से बंद कर दी मिस्त्री की मुट्ठी
मानो कह रहे हों इस घर की याद
अब तुम्हारे हाथ में है
इसे बड़े जतन से रखना
ताज़े पलस्तर की गंध से
पूरा घर महक रहा था
ठंडी दीवारों को बार-बार
हाथ लगाने और उनसे सटकर
खड़े रहने का मन करता था
छूने पर लगता जैसे
दीवार के ठीक पीछे खड़ा है मिस्त्री
मैं उससे कुछ कहना चाह रहा हूँ
लेकिन वह मुझे सुन नहीं पा रहा है
दूसरी तरफ़ जाने का भी कोई फ़ायदा नहीं
जब तक मैं वहाँ पहुँचूँगा वह जा चुका होगा
सालों बाद अब उभरने लगी हैं
घर में दरारें
ख़ुश रहो कहना जो भूल गया था मिस्त्री को
और वह भी शायद किसी छोटी-सी बात पर
नाहक़ ग़ुस्सा होने से बच नहीं पाया होगा
उसने ज़ोर से भींची होगी अपनी मुट्ठी
तभी तिड़क गई होगी
उसके हाथों में सँजोई
मेरे घर की स्मृति
अब मैं किसी को ख़ुश रहो
कहना नहीं भूलता
diwaron par palastar pura ho gaya hai sahab
ab hum chalte hain
ap pani marte rahna
pani jitna risega
utni hi mazbut hogi diwar
ye kahkar us rajmistri ne
us din ki mazduri ke liye
apna hath aage baDhaya
pita ne paise thamaye aur
dhire se band kar di mistri ki mutthi
mano kah rahe hon is ghar ki yaad
ab tumhare hath mein hai
ise baDe jatan se rakhna
taze palastar ki gandh se
pura ghar mahak raha tha
thanDi diwaron ko bar bar
hath lagane aur unse satkar
khaDe rahne ka man karta tha
chhune par lagta jaise
diwar ke theek pichhe khaDa hai mistri
main usse kuch kahna chah raha hoon
lekin wo mujhe sun nahin pa raha hai
dusri taraf jane ka bhi koi fayda nahin
jab tak main wahan pahunchunga wo ja chuka hoga
salon baad ab ubharne lagi hain
ghar mein dararen
khush raho kahna jo bhool gaya tha mistri ko
aur wo bhi shayad kisi chhoti si baat par
nahaq ghussa hone se bach nahin paya hoga
usne zor se bhinchi hogi apni mutthi
tabhi tiDak gai hogi
uske hathon mein sanjoi
mere ghar ki smriti
ab main kisi ko khush raho
kahna nahin bhulta
diwaron par palastar pura ho gaya hai sahab
ab hum chalte hain
ap pani marte rahna
pani jitna risega
utni hi mazbut hogi diwar
ye kahkar us rajmistri ne
us din ki mazduri ke liye
apna hath aage baDhaya
pita ne paise thamaye aur
dhire se band kar di mistri ki mutthi
mano kah rahe hon is ghar ki yaad
ab tumhare hath mein hai
ise baDe jatan se rakhna
taze palastar ki gandh se
pura ghar mahak raha tha
thanDi diwaron ko bar bar
hath lagane aur unse satkar
khaDe rahne ka man karta tha
chhune par lagta jaise
diwar ke theek pichhe khaDa hai mistri
main usse kuch kahna chah raha hoon
lekin wo mujhe sun nahin pa raha hai
dusri taraf jane ka bhi koi fayda nahin
jab tak main wahan pahunchunga wo ja chuka hoga
salon baad ab ubharne lagi hain
ghar mein dararen
khush raho kahna jo bhool gaya tha mistri ko
aur wo bhi shayad kisi chhoti si baat par
nahaq ghussa hone se bach nahin paya hoga
usne zor se bhinchi hogi apni mutthi
tabhi tiDak gai hogi
uske hathon mein sanjoi
mere ghar ki smriti
ab main kisi ko khush raho
kahna nahin bhulta
स्रोत :
रचनाकार : सरबजीत गरचा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.