पुरानी उम्रों में एक उम्र थी
जब मैं किशोर था
एक लड़की थी उर्मिला जिससे मैं भागता था दूर
शरारत से कहती थी :
अचानक सिर उठा कर जब देखता है तू
तेरी आँखें फूल की तरह खिलती हैं
बीच की उम्रों में एक उम्र है यह
जब वह खुलती है घाव की तरह
चेहरे पर दो घाव हैं
ज़र्द
मानो मवाद से भरे
इनमें से रक्त-सा रिसता है
जो देखने में पानी-सा लगता है
ग़नीमत है
मेरा मुँह खुलता है अब भी मुँह की तरह
बोलता है पूरी बची हुई ताक़त से
उतना सब कुछ
जितना बोला जाना ज़रूरी है
लोगों से भरे इस उजाड़ में
जिसे नए-पुराने दार्शनिक सभी
संसार कहते हैं
हमारे भीतर के नदी-नाले सब
इसी में बहते हैं
उस उम्मीद की तरह जो कहती है :
ये आँखें फिर फूल हो जाएँगी
बाद की उम्रों में कभी वो पुरानी उम्र वापस आएगी
यक़ीन है मुझे
मैं देखूँगा मृत्यु की आँखों से
दो बुझती आँखों का
अचानक फूल की तरह खिलना...
purani umron mein ek umr thi
jab main kishor tha
ek laDki thi urmila jisse main bhagta tha door
shararat se kahti thi ha
achanak sir utha kar jab dekhta hai tu
teri ankhen phool ki tarah khilti hain
beech ki umron mein ek umr hai ye
jab wo khulti hai ghaw ki tarah
chehre par do ghaw hain
zard
mano mawad se bhare
inmen se rakt sa rista hai
jo dekhne mein pani sa lagta hai
ghanimat hai
mera munh khulta hai ab bhi munh ki tarah
bolta hai puri bachi hui taqat se
utna sab kuch
jitna bola jana zaruri hai
logon se bhare is ujaD mein
jise nae purane darshanik sabhi
sansar kahte hain
hamare bhitar ke nadi nale sab
isi mein bahte hain
us ummid ki tarah jo kahti hai ha
ye ankhen phir phool ho jayengi
baad ki umron mein kabhi wo purani umr wapas ayegi
yaqin hai mujhe
main dekhunga mirtyu ki ankhon se
do bujhti ankhon ka
achanak phool ki tarah khilna
purani umron mein ek umr thi
jab main kishor tha
ek laDki thi urmila jisse main bhagta tha door
shararat se kahti thi ha
achanak sir utha kar jab dekhta hai tu
teri ankhen phool ki tarah khilti hain
beech ki umron mein ek umr hai ye
jab wo khulti hai ghaw ki tarah
chehre par do ghaw hain
zard
mano mawad se bhare
inmen se rakt sa rista hai
jo dekhne mein pani sa lagta hai
ghanimat hai
mera munh khulta hai ab bhi munh ki tarah
bolta hai puri bachi hui taqat se
utna sab kuch
jitna bola jana zaruri hai
logon se bhare is ujaD mein
jise nae purane darshanik sabhi
sansar kahte hain
hamare bhitar ke nadi nale sab
isi mein bahte hain
us ummid ki tarah jo kahti hai ha
ye ankhen phir phool ho jayengi
baad ki umron mein kabhi wo purani umr wapas ayegi
yaqin hai mujhe
main dekhunga mirtyu ki ankhon se
do bujhti ankhon ka
achanak phool ki tarah khilna
स्रोत :
रचनाकार : शिरीष कुमार मौर्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.