खुलने और बंद होने के बाद
पता चलता है मौसम का रंग
करवट बदलते दिनों की आहट
धूप का हिसाब
रात का पता
पक्षी की अनगिन पुकार
पेड़ों और पत्तों की चमक
पतंग की उड़ान
सब कमरे के बाहर हैं
कमरे में शांति है
कभी-कभी जब
देर तक कोई आहट नहीं होती
काँप जाता है मन
मैं देर तक
बंद नहीं रख पाता खिड़कियाँ
बंद कमरे में घुटन होती है
अँधेरे या रौशनी के लिए नहीं
उस आसमान के लिए
खोलता हूँ खिड़कियाँ
जिससे दुनिया के तमाम रंग
बिना बारिश के भी झड़ते हैं।
khulne aur band hone ke baad
pata chalta hai mausam ka rang
karwat badalte dinon ki aahat
dhoop ka hisab
raat ka pata
pakshi ki angin pukar
peDon aur patton ki chamak
patang ki uDan
sab kamre ke bahar hain
kamre mein shanti hai
kabhi kabhi jab
der tak koi aahat nahin hoti
kanp jata hai man
main der tak
band nahin rakh pata khiDkiyan
band kamre mein ghutan hoti hai
andhere ya raushani ke liye nahin
us asman ke liye
kholta hoon khiDkiyan
jisse duniya ke tamam rang
bina barish ke bhi jhaDte hain
khulne aur band hone ke baad
pata chalta hai mausam ka rang
karwat badalte dinon ki aahat
dhoop ka hisab
raat ka pata
pakshi ki angin pukar
peDon aur patton ki chamak
patang ki uDan
sab kamre ke bahar hain
kamre mein shanti hai
kabhi kabhi jab
der tak koi aahat nahin hoti
kanp jata hai man
main der tak
band nahin rakh pata khiDkiyan
band kamre mein ghutan hoti hai
andhere ya raushani ke liye nahin
us asman ke liye
kholta hoon khiDkiyan
jisse duniya ke tamam rang
bina barish ke bhi jhaDte hain
स्रोत :
रचनाकार : शंकरानंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.