जानते हो!—पिता ने बहुत गंभीर होते हुए कहा।
यह छितवन बहुत पुराना है।
इसने अपने अखाड़े में न जाने कितने
पहलवानों की जवानी के दाँव देखे हैं
उनके बुढ़ापे को छाँव देते हुए
उनकी कमज़ोर पसलियों से झूलती
त्वचा को भी देखा है
मेरे बेटे, जैसे ये गेहूँ की जड़ें
सोख लेती हैं पानी को
वैसे ही सोख लेना अपने उठान को
कभी मत करना घमंड
चुपचाप बहते रहना क्यारियों के बीच
तैरते पानी की तरह
विघ्न-बाधाओं को चीरते-ठेलते हुए
फिर जब तुम्हारी हड्डियाँ बूढ़ी हो जाएँ
तो यही छितवन देगा छाँव तुम्हें
आख़िर किसी ने तो देखा होगा बचपना उसका?—
मैंने उत्सुकता में पूछा।
पिता ने हँसते हुए कहा—
मेरे पिता ने भी ठीक ऐसे ही बताया था
जैसे मैं तुम्हें बता रहा हूँ
तुम भी ठीक ऐसे ही बताना अपने बच्चों को।
jante ho!—pita ne bahut gambhir hote hue kaha
ye chhitwan bahut purana hai
isne apne akhaDe mein na jane kitne
pahalwanon ki jawani ke danw dekhe hain
unke buDhape ko chhanw dete hue
unki kamzor pasaliyon se jhulti
twacha ko bhi dekha hai
mere bete, jaise ye gehun ki jaDen
sokh leti hain pani ko
waise hi sokh lena apne uthan ko
kabhi mat karna ghamanD
chupchap bahte rahna kyariyon ke beech
tairte pani ki tarah
wighn badhaon ko chirte thelte hue
phir jab tumhari haDDiyan buDhi ho jayen
to yahi chhitwan dega chhanw tumhein
akhir kisi ne to dekha hoga bachpana uska?—
mainne utsukta mein puchha
pita ne hanste hue kaha—
mere pita ne bhi theek aise hi bataya tha
jaise main tumhein bata raha hoon
tum bhi theek aise hi batana apne bachchon ko
jante ho!—pita ne bahut gambhir hote hue kaha
ye chhitwan bahut purana hai
isne apne akhaDe mein na jane kitne
pahalwanon ki jawani ke danw dekhe hain
unke buDhape ko chhanw dete hue
unki kamzor pasaliyon se jhulti
twacha ko bhi dekha hai
mere bete, jaise ye gehun ki jaDen
sokh leti hain pani ko
waise hi sokh lena apne uthan ko
kabhi mat karna ghamanD
chupchap bahte rahna kyariyon ke beech
tairte pani ki tarah
wighn badhaon ko chirte thelte hue
phir jab tumhari haDDiyan buDhi ho jayen
to yahi chhitwan dega chhanw tumhein
akhir kisi ne to dekha hoga bachpana uska?—
mainne utsukta mein puchha
pita ne hanste hue kaha—
mere pita ne bhi theek aise hi bataya tha
jaise main tumhein bata raha hoon
tum bhi theek aise hi batana apne bachchon ko
स्रोत :
रचनाकार : पंकज प्रखर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.