कविता अच्छी भले न हो
लेकिन उसे ख़राब नहीं होना चाहिए
अच्छा कवि जानता है कि वह अच्छा कवि है
ख़राब कवि नहीं मानता कि वह ख़राब कवि है
अच्छे कवि शराब पीकर ख़राब होते देखे गए हैं
लेकिन ख़राब कवि बिना शराब पिए ही ख़राब कवि थे
ख़राब कवि शराब नहीं ख़िज़ाब प्रेमी होते हैं
जिसे वे अपने सफ़ेद बालों में किसी महँगे सैलून में नहीं
अपनी दाई से लगवाते हैं
जिनका मुख्य काम झाड़ू-पोंछा और बरतन माँजना होता है
इससे पैसे की बचत तो होती ही है
प्रेम भी बढ़ता है और जनवाद को भी गति मिलती है
इन दिनों दिल्ली देश की ही नहीं
ख़राब कवियों की भी राजधानी थी
दिल्ली में ख़राब कवि सिर्फ़ बिहार से ही नहीं
देश के हर इलाक़े से हर रोज़ आ रहे थे
और ख़राब कवयित्रियाँ
ख़राब कवियों के सान्निध्य में और ख़राब होती जाती थीं!
kawita achchhi bhale na ho
lekin use kharab nahin hona chahiye
achchha kawi janta hai ki wo achchha kawi hai
kharab kawi nahin manata ki wo kharab kawi hai
achchhe kawi sharab pikar kharab hote dekhe gaye hain
lekin kharab kawi bina sharab piye hi kharab kawi the
kharab kawi sharab nahin khizab premi hote hain
jise we apne safed balon mein kisi mahnge sailun mein nahin
apni dai se lagwate hain
jinka mukhy kaam jhaDu ponchha aur bartan manjana hota hai
isse paise ki bachat to hoti hi hai
prem bhi baDhta hai aur janwad ko bhi gati milti hai
in dinon dilli desh ki hi nahin
kharab kawiyon ki bhi rajdhani thi
dilli mein kharab kawi sirf bihar se hi nahin
desh ke har ilaqe se har roz aa rahe the
aur kharab kawyitriyan
kharab kawiyon ke sannidhy mein aur kharab hoti jati theen!

स्रोत :
रचनाकार : कृष्ण कल्पित
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.