तुम इतनी देर तक घूरते रहे अँधेरे को
कि तुम्हारी पुतलियों का रंग काला हो गया
किताबों को ओढा इस तरह
कि शरीर काग़ज़ हो गया
कहते रहे मौत आए तो इस तरह
जैसे पानी को आती है
वह बदल जाता है भाप में
आती है पेड़ को
वह दरवाज़ा बन जाता है
जैसे आती है आग को
वह राख बन जाती है
तुम गाय का थन बन जाना
दूध बनकर बरसना
भाप बनकर चलाना बड़े-बड़े इंजन
भात पकाना
जिस रास्ते को हमेशा बंद रहने का शाप मिला
उस पर दरवाज़ा बनकर खुलना
राख से माँजना बीमार माँ की पलंग के नीचे रखे बासन
तुम एक तीली जलाना
उसे देर तक घूरना
tum itni der tak ghurte rahe andhere ko
ki tumhari putaliyon ka rang kala ho gaya
kitabon ko oDha is tarah
ki sharir kaghaz ho gaya
kahte rahe maut aaye to is tarah
jaise pani ko aati hai
wo badal jata hai bhap mein
ati hai peD ko
wo darwaza ban jata hai
jaise aati hai aag ko
wo rakh ban jati hai
tum gay ka than ban jana
doodh bankar barasna
bhap bankar chalana baDe baDe injan
bhat pakana
jis raste ko hamesha band rahne ka shap mila
us par darwaza bankar khulna
rakh se manjana bimar man ki palang ke niche rakhe basan
tum ek tili jalana
use der tak ghurna
tum itni der tak ghurte rahe andhere ko
ki tumhari putaliyon ka rang kala ho gaya
kitabon ko oDha is tarah
ki sharir kaghaz ho gaya
kahte rahe maut aaye to is tarah
jaise pani ko aati hai
wo badal jata hai bhap mein
ati hai peD ko
wo darwaza ban jata hai
jaise aati hai aag ko
wo rakh ban jati hai
tum gay ka than ban jana
doodh bankar barasna
bhap bankar chalana baDe baDe injan
bhat pakana
jis raste ko hamesha band rahne ka shap mila
us par darwaza bankar khulna
rakh se manjana bimar man ki palang ke niche rakhe basan
tum ek tili jalana
use der tak ghurna
स्रोत :
रचनाकार : गीत चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.