कवि के इलाक़े की सड़क
उपमा और रूपकों से भरी है...
दो पेड़ों के बीच बहुत कुछ है—
डालियाँ गले मिल रही हैं।
बच्चों के जमघट–से
उछल–कूद करते पत्ते...
माँ की आँचल की तरह
बिछी हैं पटरियाँ
...रेलें ज़िम्मेदार बेटे की तरह गुज़रती हुई।
फूल खिलते हैं
गेहूँ की सुनहरी बालियाँ
हवाओं संग झूमती हुई गाती हुई।
उजाड़ में दरगाह
पवित्र साधू–ह्रदय की याद दिलाता।
वहाँ मन्नतें माँगती स्त्रियों का हुजूम,
सन्नाटे की गूँज है
लोगों के छोटे–बड़े मंसूबे
और न दिखाई देने वाली
पीर औलिया की दुआएँ...
आबाद इलाक़े की ओर जाती सड़क।
दूर दो–चार मनुष्यनुमा आकृति।
सड़क कवि की भाषा,
इच्छाओं और वजनी शब्दों को
सभ्यता तक पहुँचाती हुई...
कवि के इलाक़े की सड़क
उपमा और रूपकों से भरी हैं।
रेलें वहाँ इत्मीनान से रुकती हैं
मुसाफ़िर आराम से टहलते हैं।
यथास्थान कोयल का गान।
...पनियल मेघ रस सिक्त धरा को देख
ज्यों संतुष्ट होता है
उसकी मुस्कान फुहार बन बरसती है...
...
रामधारी सिंह ‘दिनकर’की उपस्थिति लिए सिमरिया रेलवे स्टेशन के आस-पास को देखकर
kavi ke ilaqe ki saDak
upma aur rupkon se bhari hai. . .
do peDon ke beech bahut kuch hai—
Daliyan gale mil rahi hain.
bachchon ke jamghat–se
uchhal–kud karte patte. . .
maan ki anchal ki tarah
bichhi hain patriyan
. . . relen zimmedar bete ki tarah guzarti hui.
phool khilte hain
gehun ki sunahri baliyan
havaon sang jhumti hui gati hui.
ujaaD mein dargah
pavitra sadhu–hrday ki yaad dilata.
vahan mannten mangti striyon ka hujum,
sannate ki goonj hai
logon ke chhote–baDe mansube
aur na dikhai dene vali
peer auliya ki duaen. . .
abad ilaqe ki or jati saDak.
door do–char manushyanuma akriti.
saDak kavi ki bhasha,
ichchhaon aur vajni shabdon ko
sabhyata tak pahunchati hui. . .
kavi ke ilaqe ki saDak
upma aur rupkon se bhari hain.
relen vahan itminan se rukti hain
musafir aram se tahalte hain.
yathasthan koyal ka gaan.
. . . paniyal megh ras sikt dhara ko dekh
jyon santusht hota hai
uski muskan phuhar ban barasti hai. . .
. . .
ramdhari sinh ‘dinkar’ki upasthiti liye simariya relve steshan ke aas paas ko dekhkar
kavi ke ilaqe ki saDak
upma aur rupkon se bhari hai. . .
do peDon ke beech bahut kuch hai—
Daliyan gale mil rahi hain.
bachchon ke jamghat–se
uchhal–kud karte patte. . .
maan ki anchal ki tarah
bichhi hain patriyan
. . . relen zimmedar bete ki tarah guzarti hui.
phool khilte hain
gehun ki sunahri baliyan
havaon sang jhumti hui gati hui.
ujaaD mein dargah
pavitra sadhu–hrday ki yaad dilata.
vahan mannten mangti striyon ka hujum,
sannate ki goonj hai
logon ke chhote–baDe mansube
aur na dikhai dene vali
peer auliya ki duaen. . .
abad ilaqe ki or jati saDak.
door do–char manushyanuma akriti.
saDak kavi ki bhasha,
ichchhaon aur vajni shabdon ko
sabhyata tak pahunchati hui. . .
kavi ke ilaqe ki saDak
upma aur rupkon se bhari hain.
relen vahan itminan se rukti hain
musafir aram se tahalte hain.
yathasthan koyal ka gaan.
. . . paniyal megh ras sikt dhara ko dekh
jyon santusht hota hai
uski muskan phuhar ban barasti hai. . .
. . .
ramdhari sinh ‘dinkar’ki upasthiti liye simariya relve steshan ke aas paas ko dekhkar
स्रोत :
रचनाकार : मनोज मल्हार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.