शरद के निरभ्र आकाश तले
फलविहीन अमराई की नीरव
स्तब्धता में शोर था उनका
जिनसे घिरा हुआ था वह अभिमन्यु
दिगंत को नापने की ताक़त थी जिसके
डैनों में चीते-सी चौकन्नी आँखोंवाला
पराजय का ज़रा नहीं आभास गर्वीली
आँखें बरसाती हुई आग, साँस की अंतिम
डोर तक लड़ने का विश्वास यही था
भय का कारण उनके, शोर से जिनके कंपित
थी शांति प्रांतर की
पर वह था अडिग रक्त के
बह जाने से क्लांत लस्त हो फैलाए
डैनों को अपने लड़ने को तैयार
संभव है कुछ समयांतर मार-नोच
खा जाएँ उसको कौवे जिनसे घिरा हुआ
था वीर अकेला अंतिम दम तक लड़ते
संभव है उनके काँव-काँव के कर्कश
स्वर में डूब जाए वह सच्चा स्वर जो
मर्मांतक पीड़ा से उपजा था
संभव है गाथा लिखी जाए
वीर कौवों की जिनकी बहुसंख्या ने
उनको विजय दिलाई
क्योंकि बहुधा ऐसा होता आया है!
sharad ke nirabhr akash tale
phalawihin amrai ki niraw
stabdhata mein shor tha unka
jinse ghira hua tha wo abhimanyu
digant ko napne ki taqat thi jiske
Dainon mein chite si chaukanni ankhonwala
parajay ka zara nahin abhas garwili
ankhen barsati hui aag, sans ki antim
Dor tak laDne ka wishwas yahi tha
bhay ka karan unke, shor se jinke kampit
thi shanti prantar ki
par wo tha aDig rakt ke
bah jane se klant last ho phailaye
Dainon ko apne laDne ko taiyar
sambhaw hai kuch samyantar mar noch
kha jayen usko kauwe jinse ghira hua
tha weer akela antim dam tak laDte
sambhaw hai unke kanw kanw ke karkash
swar mein Doob jaye wo sachcha swar jo
marmantak piDa se upja tha
sambhaw hai gatha likhi jaye
weer kauwon ki jinki bahusankhya ne
unko wijay dilai
kyonki bahudha aisa hota aaya hai!
sharad ke nirabhr akash tale
phalawihin amrai ki niraw
stabdhata mein shor tha unka
jinse ghira hua tha wo abhimanyu
digant ko napne ki taqat thi jiske
Dainon mein chite si chaukanni ankhonwala
parajay ka zara nahin abhas garwili
ankhen barsati hui aag, sans ki antim
Dor tak laDne ka wishwas yahi tha
bhay ka karan unke, shor se jinke kampit
thi shanti prantar ki
par wo tha aDig rakt ke
bah jane se klant last ho phailaye
Dainon ko apne laDne ko taiyar
sambhaw hai kuch samyantar mar noch
kha jayen usko kauwe jinse ghira hua
tha weer akela antim dam tak laDte
sambhaw hai unke kanw kanw ke karkash
swar mein Doob jaye wo sachcha swar jo
marmantak piDa se upja tha
sambhaw hai gatha likhi jaye
weer kauwon ki jinki bahusankhya ne
unko wijay dilai
kyonki bahudha aisa hota aaya hai!
स्रोत :
पुस्तक : पहला उपदेश (पृष्ठ 66)
रचनाकार : अनिल कुमार सिंह
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.