यह रूप, यह उठता हुआ यौवन, किस कारण दिया था तुमने मुझको—
हे देव लेना क्या था मुझे जन्म लेने से ही
नष्ट करना था अपना समय मुझे जन्म देना
हे देव लेना क्या...
मानो मरुस्थल में तुमने पुष्प खिला दिया—
पुष्प खिला दिया परंतु उसे फिर भुला दिया
सिंचाई कहाँ है और छाया तरु की
न माली है कोई, न बुलबुल कहीं है
यहाँ दिखाना पड़ता है पहले माल बुलबुल को
हे देव...
इससे अच्छा यही था कि रखा होता मुझे अपने चरणों की सेवा के लिए—
यहाँ पुष्प अर्पित किए जा रहे हैं अग्निकुंडों में
और चढ़ाए जाते हैं पत्थर के टुकडों पर—
और जब कुम्हला जाएँ बहाए जाते हैं बहती नदी में
इन्हें मन बहलाना है किसी प्रकार
हे देव...
शशि-सा मुझको बना दिया पर मुझे उससे मिला क्या—
और ज्यों ही मेरा यौवन निखर आया
मैं ससुराल के विचार में घुलने लगी—
और निर्धनता के दाग़ को सहलाने लगी
यह यौवन क्या दिलाया जिसमें हो दाग़ सहलाना
हे देव...
इससे अच्छा यही कि रखा होता मुझे तारकों में—
मैं देखा करती लेती मौज इस जगत के झमेलों का
न मायका न ससुराल कोई झंझट न रहता—
न आने का ही न जाने का जंजाल रहता
मैं अपनी वहीं बैठ जाती और जगत की ओर आँख मिचकाती
हे देव...
परंतु खींच लाए तुम मुझे संसार में—
यह अच्छा था जो फेंका होता मुझे अग्नि में
बरसी वसंत में मैं ओले की भाँति—
माता-पिता को ऐसे ही डाला कष्ट में
इनको देना था कष्ट मुझे साधन बना दिया
हे देव...
मेरे जन्म से ही कोई ख़ुश न हुआ—
आहें निकली चारों ओर से और घर उदासी में डूब गया
होती बेटा मैं तो चढ़ता रवि पूरब से उनका—
यह सुन कि अब लड़की है उनकी बँध गई घिग्घी
कि देखा चित्र इसमें अपने उजड़ने का
हे देव
जान जोखम में उन्होंने डाली फिर जुत गए हैं बैल से—
खो गया इक आन में उनका सुख चैन
पेट अपना काटकर मेरे लिए करने लगे संचय—
दमड़ी-दमड़ी का, रत्ती-रत्ती का, दाने-दाने का
परंतु उनके इतना करने पर भी कोई तुष्ट न हुआ
हे देव...
जब मैं छोटी थी उनको लगता था हूँ मैं फुलवारी खिलती सी—
हुई बड़ी जब मैं लगी जलती अग्नि-सी
जब मैं छोटी थी उनको लगता था हूँ मैं कान में हिलती बाली सी—
हुई बड़ी जब मैं लगी उर का नासूर-सी
टल गया मेरा शैशव मानो बिजली की चमक-सी
हे देव....
घुलती हूँ मै चिंता से कहाँ भेजा जाए मेरा पारसल—
चिंता यह है कहीं वह न हो उजड्ड
मैं कहती हूँ सताएँगे वे मुझे न जाने कैसे—
मैं घुलती हूँ कि यह मुश्किल मेरी कैसे हो जाए हल
मैं घुलती हूँ पिता मेरा कहीं लज्जित न हो जाए
हे देव
ब्याहना अपना बेटा हो तो करेंगे वह कर लंबे—
न मानवता न भगवान का रहेगा उनको स्मरण
यह कैसे-कैसे झूठी ही शान दिखाते—
यह कैसी-कैसी चालों से शिकारों को फँसाते
परंतु मेरी बारी आती जब मुर्दनी-सी छा जाती
हे देव
हे देव अपने हाथ से मेरे लिए कोई रास्ता निकाल—
बेटे वाले के हृदय में मेरे लिए दया उत्पन्न कर
नहीं तो यह मेरा बोझ कौन उठाएगा—
मेरे माता-पिता पहले से ही अपमानित हैं
असहायों को अपना घर भी अब रहन रखना है
हे देव...
roop, ye uthta hua yauvan, kis karan diya tha tumne mujhko—
he dev lena kya tha mujhe janm lene se hi
nasht karna tha apna samay mujhe janm dena
he dev lena kya
mano marusthal mein tumne pushp khila diya—
pushp khila diya parantu use phir bhula diya
sichai kahan hai aur chhaya taru ki
na mali hai koi na bulbul kahi hai
yahan dikhana paDta hai pahle maal bulbul ko
he dev
isse achchha yahi tha ki rakha hota mujhe apne charno ki seva ke liye—
yahan pushp arpit kiye ja rahe hai agnikunDo mein
aur chaDhaye jate hain patthar ke tukDon par—
aur jab kumhla jayan bahaye jate hain bahti nadi men
inhen man bahlana hai kisi prakar
he dev. . .
shashi sa mujhko bana diya par mujhe usse mila kyaa—
aur jyon hi mera yauvan nikhar aaya
main sasural ke vichar mae ghulne lagi—
aur nirdhanta ke daagh ko sahlane lagi
ye yauvan kya dilaya jismen ho daagh sahlana
he dev. . .
isse achchha yahi ki rakha hota mujhe tarko men—
main dekha karti leti mauj is jagat ke jhamelon ka
na mayaka na sasural koi shat na rahta—
na aane ka hi na jane ka jajal rahta
main apni vahi baith jati aur jagat ki or ankh michkati
he dev. . .
parantu kheench laye tum mujhe sansar men—
ye achchha tha jo phenka hota mujhe agni mein
barsi vasant mein main ole ki bhanti—
mata pita ko aise hi Dala kasht mein
inko dena tha kasht mujhe sadhan bana diya
mere janm se hi koi khush na hua—
aahe nikli charon or se aur ghar udasi mein Doob gaya
hoti beta main to chaDhta ravi purab se unka
ye sun ki ab laDki hai unki bandh gai ghigghi
ki dekha chitr ismen apne ujaDne ka he dev
jaan jokham mein unhonne Dali phir jut gaye hai bail se—
kho gaya ik aan mein unka sukh chain
pet apna katkar mere liye karne lage sanchay—
damDi damDi ka, ratti ratti ka, dane dane ka
parantu unke itna karne par bhi koi tusht na hua
he dev. . .
jab main chhoti thi unko lagta tha hoon main phulvari khilti see—
hui baDi jab main lagi jalti agni si jab
main chhoti thi unko lagta tha hoon mein kaan mein hilti bali see—
hui baDi jab mai lagi ur ka nasur si
tal gaya mera shaishav mano bijli ki chamak si
he dev. . . .
ghulti hoon mai chinta se kahan bheja jaye mera parasal— chinta
ye hai kahin wo na ho ujaD
main kahti hoon satayenge ve mujhe na jane kaise—
main ghulti hoon ki ye mushkil meri kaise ho jaye hal
main ghulti hoon pita mera kahi lajjit na ho jaye
he dev
byahna apna beta ho to karenge wo kar lambe—
na manavta na bhagvan ka rahega unko smarn ye
kaise kaise jhuthi hi shaan dikhate—
ye kaisi kaisi chalon se shikaron ko phansate
parantu meri bari aati jab murdani si chha jati
he dev
he dev apne haath se mere liye koi rasta nikal—
bete vale ke hirdai mein mere liye daya utpann kar
nahin to ye mera bojh kaan uthayega—
mere mata pita pahle se hi apmanit hai
ashayo ko apna ghar bhi ab rahan rakhna hai

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 203)
रचनाकार : दीनानाथ वली 'अलमस्त
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.