तीन कोटियाँ होती हैं कवियों की जगत में
बतलाया है आस्वादकों ने मर्मज्ञों ने निर्धारकों ने
साधारण कवि करता रहता है नक़ल
विशिष्ट कवि लाता है आस्वाद में बदलाव
महान कवि मूल्य बदल देता है
मैं था कवि साधारण
आजीवन करता रहा नक़ल
छंद की भाव की भाषा की शिल्प की
विशिष्ट कवि था मैं
आस्वाद बदलता रहा जीवन भर
आलोचकों का संपादकों का पाठकों का
मैं साधारण विशिष्ट कवि भी रहा
नक़ल में ही चखा दिया असल का स्वाद
मैं रहा विशिष्ट साधारण भी
आस्वाद में भरता रहा नक़ल की अक्ल
महान कवि होता जा रहा हूँ इन दिनों
मूल्य में भर रहा हूँ आस्वाद की नक़ल
नक़ल के आस्वाद को ही मूल्य बता रहा हूँ
मैं कवि
साधारण विशिष्ट महान!
teen kotiyan hoti hain kaviyon ki jagat men
batlaya hai asvadkon ne marmagyon ne nirdharkon ne
sadharan kavi karta rahta hai naqal
vishisht kavi lata hai asvad mein badlav
mahan kavi mooly badal deta hai
main tha kavi sadharan
ajivan karta raha naqal
chhand ki bhaav ki bhasha ki shilp ki
vishisht kavi tha main
asvad badalta raha jivan bhar
alochkon ka sampadkon ka pathkon ka
main sadharan vishisht kavi bhi raha
naqal mein hi chakha diya asal ka svaad
main raha vishisht sadharan bhi
asvad mein bharta raha naqal ki akl
mahan kavi hota ja raha hoon in dinon
mooly mein bhar raha hoon asvad ki naqal
naqal ke asvad ko hi mooly bata raha hoon
main kavi
sadharan vishisht mahan!
teen kotiyan hoti hain kaviyon ki jagat men
batlaya hai asvadkon ne marmagyon ne nirdharkon ne
sadharan kavi karta rahta hai naqal
vishisht kavi lata hai asvad mein badlav
mahan kavi mooly badal deta hai
main tha kavi sadharan
ajivan karta raha naqal
chhand ki bhaav ki bhasha ki shilp ki
vishisht kavi tha main
asvad badalta raha jivan bhar
alochkon ka sampadkon ka pathkon ka
main sadharan vishisht kavi bhi raha
naqal mein hi chakha diya asal ka svaad
main raha vishisht sadharan bhi
asvad mein bharta raha naqal ki akl
mahan kavi hota ja raha hoon in dinon
mooly mein bhar raha hoon asvad ki naqal
naqal ke asvad ko hi mooly bata raha hoon
main kavi
sadharan vishisht mahan!
स्रोत :
पुस्तक : बुरे समय में नींद (पृष्ठ 64)
रचनाकार : रामाज्ञा शशिधर
प्रकाशन : अंतिका प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.