क्या तुम्हें भी कभी
अपने भीतर
पत्तों के झरने की
आवाज़ें सुनाई देती हैं?
क्या तुमने भी कभी
कबूतर की लाल होती
आँखों के सागर में
ख़ुशी-ख़ुशी अपनी नाव को
डुबो दिया है?
क्या तुम्हें भी कभी
अपने भीतर
अपने रेवड़ से
बिछुड़ने वाले
मेमने की अंतिम चीख़
सुनाई देती है?
क्या तुमने भी कभी
रेत होती हुई आँखों के पन्नों पर
उभरने वाली अंतिम इबारत को
पढ़ा है?
क्या तुम्हारे हाथों से भी
अधिकतर
फिसल जाती हैं मछलियाँ
और तुम देखते रहते हो
पानी पर लहरों से लिखे
प्रश्न को?
क्या तुमने भी कभी
मरुस्थल की लपेट में आने वाले
पेड़ की
अंतिम हरियाली की
वसीयत देखि है?
और क्या तुम्हें भी कभी
अपने विचारों के धरातल पर
अनिवार्य लगती है
एक क्रांति
पथरीले खेत की मुंडेर पर खड़े
उस कंकाल आदमी के लिए
जो अभी तक चूस रहा है
दुखों की दराँती से कटा
अपना अँगूठा?
यदि तुम्हारे पास
ऐसा कोई अनुभव नहीं
तो समझना
कि जीवन से तुम्हारा रिश्ता
टूट चुका है
और तुम क़ब्रिस्तान के
वह पेड़ बन चुके हो
जिसकी छाँव में
केवल मुर्दे दफ़नाए जाते हैं।
kya tumhein bhi kabhi
apne bhitar
patton ke jharne ki
avazen sunai deti hain?
kya tumne bhi kabhi
kabutar ki laal hoti
ankhon ke sagar mein
khushi khushi apni naav ko
Dubo diya hai?
kya tumhein bhi kabhi
apne bhitar
apne revaD se
bichhuDne vale
memne ki antim cheekh
sunai deti hai?
kya tumne bhi kabhi
ret hoti hui ankhon ke pannon par
ubharne vali antim ibarat ko
paDha hai?
kya tumhare hathon se bhi
adhiktar
phisal jati hain machhliyan
aur tum dekhte rahte ho
pani par lahron se likhe
parashn ko?
kya tumne bhi kabhi
marusthal ki lapet mein aane vale
peD ki
antim hariyali ki
vasiyat dekhi hai?
aur kya tumhein bhi kabhi
apne vicharon ke dharatal par
anivarya lagti hai
ek kranti
pathrile khet ki munDer par khaDe
us kankal adami ke liye
jo abhi tak choos raha hai
dukhon ki daranti se kata
apna angutha?
yadi tumhare paas
aisa koi anubhav nahin
to samajhna
ki jivan se tumhara rishta
toot chuka hai
aur tum qabristan ke
wo peD ban chuke ho
jiski chhaanv mein
keval murde dafnaye jate hain.
kya tumhein bhi kabhi
apne bhitar
patton ke jharne ki
avazen sunai deti hain?
kya tumne bhi kabhi
kabutar ki laal hoti
ankhon ke sagar mein
khushi khushi apni naav ko
Dubo diya hai?
kya tumhein bhi kabhi
apne bhitar
apne revaD se
bichhuDne vale
memne ki antim cheekh
sunai deti hai?
kya tumne bhi kabhi
ret hoti hui ankhon ke pannon par
ubharne vali antim ibarat ko
paDha hai?
kya tumhare hathon se bhi
adhiktar
phisal jati hain machhliyan
aur tum dekhte rahte ho
pani par lahron se likhe
parashn ko?
kya tumne bhi kabhi
marusthal ki lapet mein aane vale
peD ki
antim hariyali ki
vasiyat dekhi hai?
aur kya tumhein bhi kabhi
apne vicharon ke dharatal par
anivarya lagti hai
ek kranti
pathrile khet ki munDer par khaDe
us kankal adami ke liye
jo abhi tak choos raha hai
dukhon ki daranti se kata
apna angutha?
yadi tumhare paas
aisa koi anubhav nahin
to samajhna
ki jivan se tumhara rishta
toot chuka hai
aur tum qabristan ke
wo peD ban chuke ho
jiski chhaanv mein
keval murde dafnaye jate hain.
स्रोत :
रचनाकार : निदा नवाज़
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.