कल्पना की थी मैंने सखी की—
कि होगी वह प्रथम कविता के उदय-सी।
अनजान कहीं से आकर यकायक
हृदय में ऊर्मिमाला, मधुर लय और मंजुल रव की
रचना कर जाती,
और जाने पर भी
हृदय में चिर आनंद की मदिरा छोड़ जाती।
कामना की थी मैंने सखी की
इन्द्रधनु से झुलती हुई
अनदेखी-सी मीठी अद्भुत रंगों की लट-सी
प्रतिबिंबित जो हृदय में, अंकित होती थी अणु-अणु में,
दिन भर आत्मा में स्फुरित होती
मानों स्वप्न की सौरभ।
वांछा की थी मैंने सखी की—
स्वयंभू भावों के निलय के समान कोमलतम,
रसलीला की विरल प्रतिमा के रूप में।
न सँजोए सपनों के पुष्पदलों से रचित सम्पुट जैसी,
चित्त में तडित् बनकर
विश्व में मर्दानगी में करती प्रेरित।
जब मिली तब जाना :
मुझ-सी ही हो मानवी,
नहीं पूर्ण भी।
किंतु कल्पना से भी मधुरतर है हृदय की रचना।
kalpana ki thi mainne sakhi kee—
ki hogi wo pratham kawita ke uday si
anjan kahin se aakar yakayak
hirdai mein urmimala, madhur lai aur manjul raw ki
rachna kar jati,
aur jane par bhi
hirdai mein chir anand ki madira chhoD jati
kamna ki thi mainne sakhi ki
indradhanu se jhulti hui
andekhi si mithi adbhut rangon ki lat si
pratibimbit jo hirdai mein, ankit hoti thi anau anau mein,
din bhar aatma mein sphurit hoti
manon swapn ki saurabh
wanchha ki thi mainne sakhi kee—
swyambhu bhawon ke nilay ke saman komaltam,
raslila ki wiral pratima ke roop mein
na sanjoe sapnon ke pushpadlon se rachit samput jaisi,
chitt mein taDit bankar
wishw mein mardanagi mein karti prerit
jab mili tab jana ha
mujh si hi ho manawi,
nahin poorn bhi
kintu kalpana se bhi madhurtar hai hirdai ki rachna
kalpana ki thi mainne sakhi kee—
ki hogi wo pratham kawita ke uday si
anjan kahin se aakar yakayak
hirdai mein urmimala, madhur lai aur manjul raw ki
rachna kar jati,
aur jane par bhi
hirdai mein chir anand ki madira chhoD jati
kamna ki thi mainne sakhi ki
indradhanu se jhulti hui
andekhi si mithi adbhut rangon ki lat si
pratibimbit jo hirdai mein, ankit hoti thi anau anau mein,
din bhar aatma mein sphurit hoti
manon swapn ki saurabh
wanchha ki thi mainne sakhi kee—
swyambhu bhawon ke nilay ke saman komaltam,
raslila ki wiral pratima ke roop mein
na sanjoe sapnon ke pushpadlon se rachit samput jaisi,
chitt mein taDit bankar
wishw mein mardanagi mein karti prerit
jab mili tab jana ha
mujh si hi ho manawi,
nahin poorn bhi
kintu kalpana se bhi madhurtar hai hirdai ki rachna
स्रोत :
पुस्तक : निशीथ एवं अन्य कविताएँ (पृष्ठ 17)
रचनाकार : कवि के साथ रघुवीर चौधरी, भोलाभाई पटेल
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ प्रकाशन
संस्करण : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.