ये जो चार बच्चों की माँ
काम में जुती है सिर झुकाए
चुपचाप
कोई सोच नहीं सकता
कैसे बोला करती है चिकर-चिकर
कल बड़े का पेपर है
आज फिर पीके आया है इसका बाप
बीड़ी के धुएँ और गालियों से
बदबू में रह गई कमी
पूरी कर रहा है
ऐसा नहीं कि उसके जी में बदबू कम हो
और वो जवाब न दे सकती हो पूरा-पूरा
मुँहतोड़
पर इस वक़्त अपनी आवाज़ घोंटे
हीक दबाए
दर्द को सिर में रोके
मरने की तलब पे क़ाबू रक्खे
चुपचाप काम में लगी है
बेटे में ढूँढ़ रही है
अपने आसमान के लिए जगह
कल बड़े का पेपर है
और उसे उसके चारों तरफ़ रहना ही है
एक अदृश्य गर्भ की तरह।
ye jo chaar bachchon ki man
kaam mein juti hai sir jhukaye
chupchap
koi soch nahin sakta
kaise bola karti hai chikar chikar
kal baDe ka paper hai
aj phir pike aaya hai iska bap
biDi ke dhuen aur galiyon se
badbu mein rah gai kami
puri kar raha hai
aisa nahin ki uske ji mein badbu kam ho
aur wo jawab na de sakti ho pura pura
munhatoD
par is wakt apni awaz ghonte
heek dabaye
dard ko sir mein roke
marne ki talab pe qabu rakkhe
chupchap kaam mein lagi hai
bete mein DhoonDh rahi hai
apne asman ke liye jagah
kal baDe ka paper hai
aur use uske charon taraf rahna hi hai
ek adrshy garbh ki tarah
ye jo chaar bachchon ki man
kaam mein juti hai sir jhukaye
chupchap
koi soch nahin sakta
kaise bola karti hai chikar chikar
kal baDe ka paper hai
aj phir pike aaya hai iska bap
biDi ke dhuen aur galiyon se
badbu mein rah gai kami
puri kar raha hai
aisa nahin ki uske ji mein badbu kam ho
aur wo jawab na de sakti ho pura pura
munhatoD
par is wakt apni awaz ghonte
heek dabaye
dard ko sir mein roke
marne ki talab pe qabu rakkhe
chupchap kaam mein lagi hai
bete mein DhoonDh rahi hai
apne asman ke liye jagah
kal baDe ka paper hai
aur use uske charon taraf rahna hi hai
ek adrshy garbh ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : विनय विश्वास
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.