यह रास्ता कहाँ जाता है
पता नहीं
हलाँकि जाता है हर रास्ता
कहीं न कहीं
जैसे जन्म
मृत्यु के दरवाज़े पर
एक सर्वव्यापी दस्तक
जैसे ज़ख़्म
पीड़ा के पास
फसलें
संसार से होकर
धरती के पास
जैसे कोई लौटता है
घर
जीवन की गलियों से
अपनी बची-खुची
पहचान के पास
जैसे समुद्र रहता है
जीवन की आँख में
एक उम्र
आँख से टपकते ही जिसे
समुद्र
समो लेने को तत्पर
कहते हैं वे
लेकिन प्रभु की आड़ लेकर
धड़ पर रखे हुए सिर
सुनते नतमस्तक
क़रीब से करीबतर होता
दिखता उन्हें अपना निठार
उस पल वे होते हैं
एक खोखल
ईश्वर से खाली
संसार से भी
वे चाहते हैं
अपने एक निठार से
तुरंत मुक्ति
जैसे चट्टानों पर पछाड़ खाती नदी
क्योंकि बिना तैयारी के
निठार में
साँस लेना भी दूभर
मिलता उन्हें वरदान
संसार से मुक्ति के बहाने
फिर एक संसार
सृष्टि का सब कुछ
लौटता है
अपने उत्स की ओर
आख़िरकार
नहीं लौटता तो बस
यह रास्ता
पहुँचकर कहीं।
ye rasta kahan jata hai
pata nahin
halanki jata hai har rasta
kahin na kahin
jaise janm
mrityu ke darvaze par
ek sarvavyapi dastak
jaise zakhm
piDa ke paas
phaslen
sansar se hokar
dharti ke paas
jaise koi lautta hai
ghar
jivan ki galiyon se
apni bachi khuchi
pahchan ke paas
jaise samudr rahta hai
jivan ki ankh men
ek umr
ankh se tapakte hi jise
samudr
samo lene ko tatpar
kahte hain ve
lekin prabhu ki aaD lekar
dhaD par rakhe hue sir
sunte natmastak
qarib se karibtar hota
dikhta unhen apna nithar
us pal ve hote hain
ek khokhal
iishvar se khali
sansar se bhi
ve chahte hain
apne ek nithar se
turant mukti
jaise chattanon par pachhaD khati nadi
kyonki bina taiyari ke
nithar men
saans lena bhi dubhar
milta unhen vardan
sansar se mukti ke bahane
phir ek sansar
srishti ka sab kuch
lautta hai
apne uts ki or
akhirkar
nahin lautta to bas
ye rasta
pahunchakar kahin.
ye rasta kahan jata hai
pata nahin
halanki jata hai har rasta
kahin na kahin
jaise janm
mrityu ke darvaze par
ek sarvavyapi dastak
jaise zakhm
piDa ke paas
phaslen
sansar se hokar
dharti ke paas
jaise koi lautta hai
ghar
jivan ki galiyon se
apni bachi khuchi
pahchan ke paas
jaise samudr rahta hai
jivan ki ankh men
ek umr
ankh se tapakte hi jise
samudr
samo lene ko tatpar
kahte hain ve
lekin prabhu ki aaD lekar
dhaD par rakhe hue sir
sunte natmastak
qarib se karibtar hota
dikhta unhen apna nithar
us pal ve hote hain
ek khokhal
iishvar se khali
sansar se bhi
ve chahte hain
apne ek nithar se
turant mukti
jaise chattanon par pachhaD khati nadi
kyonki bina taiyari ke
nithar men
saans lena bhi dubhar
milta unhen vardan
sansar se mukti ke bahane
phir ek sansar
srishti ka sab kuch
lautta hai
apne uts ki or
akhirkar
nahin lautta to bas
ye rasta
pahunchakar kahin.
स्रोत :
पुस्तक : धरती होने का सुख (पृष्ठ 103)
रचनाकार : केशव
प्रकाशन : किताबघर प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.