मुझे लगता था
इस दौर के तमाम फ़िल्मी प्रेम-गीतों में
स्वर तुम्हारा है
और उसका हीरो मैं हूँ
एक निश्चित संबोधन के साथ
तुम कमरे में प्रवेश करतीं
और वह दंतहीन, पूँछहीन कमरा
मुझे निगलने को दौड़ता
मेरे पैर काँपते आधार की खोज में
मैं भागता
और मेरे लिए पूरी पृथ्वी छोटी पड़ जाती
जो डरावने सपने मुझे बचपन में
दादी-नानी के क़िस्सों से आने थे
वे मुझे तब आए
जब मैं तुमसे मिला
जब डायरी के एक कोने में मैंने
तुम्हारा नाम लिखा
और आश्चर्य कि
उन डरावने सपनों में
न भूत होते थे, न पिशाच
बल्कि ख़ुद तुम्हारे पिता होते
जो हर बार एक ही सवाल दुहराते
'तुम्हारी हैसियत क्या है?'
mujhe lagta tha
is daur ke tamam filmi prem giton men
svar tumhara hai
aur uska hero main hoon
ek nishchit sambodhan ke saath
tum kamre mein pravesh karti
aur wo danthin, punchhahin kamra
mujhe nigalne ko dauDta
mere pair kanpte adhar ki khoj men
main bhagta
aur mere liye puri prithvi chhoti paD jati
jo Daravne sapne mujhe bachpan mein dadi nani ke qisson se aane the
wo mujhe tab aaye
jab main tumse mila
jab Diary ke ek kone mein mainne tumhara naam likha
aur ashchary ki
un Daravne sapnon men
na bhoot hote the, na pishach
balki khu tumhare pita hote
jo har baar ek hi saval dohrate
“tumhari haisiyat kya hai?”
mujhe lagta tha
is daur ke tamam filmi prem giton men
svar tumhara hai
aur uska hero main hoon
ek nishchit sambodhan ke saath
tum kamre mein pravesh karti
aur wo danthin, punchhahin kamra
mujhe nigalne ko dauDta
mere pair kanpte adhar ki khoj men
main bhagta
aur mere liye puri prithvi chhoti paD jati
jo Daravne sapne mujhe bachpan mein dadi nani ke qisson se aane the
wo mujhe tab aaye
jab main tumse mila
jab Diary ke ek kone mein mainne tumhara naam likha
aur ashchary ki
un Daravne sapnon men
na bhoot hote the, na pishach
balki khu tumhare pita hote
jo har baar ek hi saval dohrate
“tumhari haisiyat kya hai?”
स्रोत :
रचनाकार : राकेश कुमार मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.