जीवन को बाती बनाकर जलाया है दीपक
घटाटोप, अंधकार भरी
कारारुद्ध रात्रि में
बिखेरने एक—
हल्की मुस्कान
आनंद की उज्ज्वल रेखा
आशा की ज्योति
असहनीय है यह अंधकार
असहाय रात्रि को
बनाता है खिलौना;
यह बिलाव
ढूँढ़ता है चूहे का छौना
शतगृह कारारुद्ध इसके ताड़न से
कोई भाग जाता है तो कोई सो जाता है
किसी को संतोष मिलता है
केवल निशीथ सपनों में।
कोई अँधेरे में स्वागत करता है
घिनौने पापी, लुटेरे और उत्पीड़क
अँधेरे की ओट में
पहनकर अपनी हत्या और हिंसा की केंचुल
मैं सह नहीं पाता
अपना तूर्यनाद—युद्धं देहि।
संध्या-सूर्य गया है मर।
कारारुद्ध अचेतन अशांत शर्बरी,
नया सूर्य जन्म लेगा
कौन कह सकता है?
जीवन को बाती बना
जल उठूँगा मैं
घूमती रात्रि की छाती चीर
ज्योति शिखा
आशा का मैं जाग्रत प्रहरी।
jiwan ko bati banakar jalaya hai dipak
ghatatop, andhkar bhari
kararuddh ratri mein
bikherne ek—
halki muskan
anand ki ujjwal rekha
asha ki jyoti
asahniy hai ye andhkar
asahaye ratri ko
banata hai khilauna;
ye bilaw
DhunDhata hai chuhe ka chhauna
shatgrih kararuddh iske taDan se
koi bhag jata hai to koi so jata hai
kisi ko santosh milta hai
kewal nishith sapnon mein
koi andhere mein swagat karta hai
ghinaune papi, lutere aur utpiDak
andhere ki ot mein
pahankar apni hattya aur hinsa ki kenchul
main sah nahin pata
apna turynad—yuddhan dehi
sandhya surya gaya hai mar
kararuddh achetan ashant sharbri,
naya surya janm lega
kaun kah sakta hai?
jiwan ko bati bana
jal uthunga main
ghumti ratri ki chhati cheer
jyoti shikha
asha ka main jagrat prahri
jiwan ko bati banakar jalaya hai dipak
ghatatop, andhkar bhari
kararuddh ratri mein
bikherne ek—
halki muskan
anand ki ujjwal rekha
asha ki jyoti
asahniy hai ye andhkar
asahaye ratri ko
banata hai khilauna;
ye bilaw
DhunDhata hai chuhe ka chhauna
shatgrih kararuddh iske taDan se
koi bhag jata hai to koi so jata hai
kisi ko santosh milta hai
kewal nishith sapnon mein
koi andhere mein swagat karta hai
ghinaune papi, lutere aur utpiDak
andhere ki ot mein
pahankar apni hattya aur hinsa ki kenchul
main sah nahin pata
apna turynad—yuddhan dehi
sandhya surya gaya hai mar
kararuddh achetan ashant sharbri,
naya surya janm lega
kaun kah sakta hai?
jiwan ko bati bana
jal uthunga main
ghumti ratri ki chhati cheer
jyoti shikha
asha ka main jagrat prahri
स्रोत :
पुस्तक : सिंधु उपत्यका (पृष्ठ 1)
रचनाकार : जानकी बल्लभ पटनायक
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.