ऐसे लपेटती हूँ उसे
जैसे सारी झुँझलाहट
हाथो की उँगलियों में
लपेट ली हो
ख़ूब कसकर
मसोस देती हूँ जुड़े को
जब खुल जाती हैं
ग़ुस्से की स्याह लड़ियाँ
अमेंठती हूँ
समेटती हूँ
ख़ुद को जूड़े की तरह
बार-बार खुल जाता है वह
जैसे खुलती है यह दुनिया प्रतिदिन
फिर ख़ुद को शाँत कर
उसको समझाती हूँ
तुम हर भाव में
मेरे साथ हो
किलो में नहीं बिकते
भावनाओं में बह जाते हो
ग़ुस्से में ग़ुस्सा हो जाते हो
और ख़ुशी में खिल-खिलाकर सिमट जाते हो
चिल-चिलाती धूप में भी
जूड़ा शिकायत नहीं करता
तुम तो मनचले हो
इसलिए उसे देखते ही
हवाओं मे उड़ जाते हो
मेरी किरकिरी, मिसमिसि
कशमकश, दुविधा
सब जुड़ जाती है
जूड़े के साथ।
aise lapetti hoon use
jaise sari jhunjhlahat
hatho ki ungliyon men
lapet li ho
khoob kaskar
masos deti hoon juDe ko
jab khul jati hain
ghusse ki syaah laDiyan
amenthti hoon
sametti hoon
khud ko juDe ki tarah
baar baar khul jata hai wo
jaise khulti hai ye duniya pratidin
phir khud ko shaant kar
usko samjhati hoon
tum har bhaav men
mere saath ho
kilo mein nahin bikte
bhavnaon mein bah jate ho
ghusse mein ghussa ho jate ho
aur khushi mein khil khilakar simat jate ho
chil chilati dhoop mein bhi
juDa shikayat nahin karta
tum to manchale ho
isliye use dekhte hi
havaon mae uD jate ho
meri kirakiri, misamisi
kashmakash, duvidha
sab juD jati hai
juDe ke saath.
aise lapetti hoon use
jaise sari jhunjhlahat
hatho ki ungliyon men
lapet li ho
khoob kaskar
masos deti hoon juDe ko
jab khul jati hain
ghusse ki syaah laDiyan
amenthti hoon
sametti hoon
khud ko juDe ki tarah
baar baar khul jata hai wo
jaise khulti hai ye duniya pratidin
phir khud ko shaant kar
usko samjhati hoon
tum har bhaav men
mere saath ho
kilo mein nahin bikte
bhavnaon mein bah jate ho
ghusse mein ghussa ho jate ho
aur khushi mein khil khilakar simat jate ho
chil chilati dhoop mein bhi
juDa shikayat nahin karta
tum to manchale ho
isliye use dekhte hi
havaon mae uD jate ho
meri kirakiri, misamisi
kashmakash, duvidha
sab juD jati hai
juDe ke saath.
स्रोत :
रचनाकार : मीना प्रजापति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.