भोर की
आहट के कुछ क्षण पूर्व से ही
सुनाई देने लगता है पक्षियों का कलरव
जैसे दम साध के बैठे हो वे रात भर
जैसे मायके में मिली हो दिनों बाद पक्की सहेलियाँ
जैसे दो विलग शहरों में बसी बहनों के फ़ोन की घंटियाँ
वे बतियाती हैं रोशनी के मिलते ही
वे गपियाती हैं बालकनी में फूल के खिलते ही
बीच-बीच में सुनाई देता है उन्हें
गृहस्थी का गुंजन
याद आता है उन्हें दाने ढूँढ़ने का उपक्रम
और बुद्ध-सी मुस्कान लिए वे लौटती हैं
सदन की ओर
गुनते हुए
मन के तार को न कसना इतना अधिक
कि वर्तमान का दम घुट जाए
न ढील देनी है इतनी कि अतीत में ही गुम हो जाएँ!
bhor ki
ahat ke kuch kshan poorw se hi
sunai dene lagta hai pakshiyon ka kalraw
jaise dam sadh ke baithe ho we raat bhar
jaise mayke mein mili ho dinon baad pakki saheliyan
jaise do wilag shahron mein basi bahnon ke phone ki ghantiyan
we batiyati hain roshni ke milte hi
we gapiyati hain balakni mein phool ke khilte hi
beech beech mein sunai deta hai unhen
grihasthi ka gunjan
yaad aata hai unhen dane DhunDhane ka upakram
aur buddh si muskan liye we lautti hain
sadan ki or
gunte hue
man ke tar ko na kasana itna adhik
ki wartaman ka dam ghut jaye
na Dheel deni hai itni ki atit mein hi gum ho jayen!

स्रोत :
रचनाकार : विशाखा मुलमुले
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.