दुनिया में मारक चीज़ें इफ़रात में हैं
पचास रुपए में एक धारदार छुरी ख़रीदी जा सकती है
लुहार से पसंदीदा शैली के हथियार बनवाए जा सकते हैं
हर घर में माचिस की डिबियों में आग है गाड़ियों में ज्वलनशील
धकेलने के लिए छतें हैं सीढ़ियाँ हैं
पहाड़ हैं
सड़कों पर बेतहाशा भागती गाड़ियाँ हैं
डुबोने के लिए कुएँ हैं, नदियाँ हैं
साँस रोकने के लिए मुलायम तकिए हैं, रस्सियाँ हैं
(बंदूक़ों से हत्याएँ अय्याशी है)
हर खोपड़ियों में खौलता लावा है
ईर्ष्याएँ है
कुंठाएँ हैं
दुनिया में ज़हर आम है
इस आलोक में बड़ी बात है
मरने तक नाज़ुक आँखों को बचाना
गले को छुरियों से दूर रखना
अंतड़ियों को भीतर ही सँभाल कर रखना
बड़ी बात है
एक आदमी का सकुशल, अखंडित देह के साथ प्राकृतिक मौत मरना।
duniya mein marak chizen ifraat mein hain
pachas rupae mein ek dharadar chhuri kharidi ja sakti hai
luhar se pasandida shaili ke hathiyar banvaye ja sakte hain
har ghar mein machis ki Dibiyon mein aag hai gaDiyon mein jvalanshil
dhakelne ke liye chhaten hain siDhiyan hain
pahaD hain
saDkon par betahasha bhagti gaDiyan hain
Dubone ke liye kuen hain, nadiyan hain
saans rokne ke liye mulayam takiye hain, rassiyan hain
(banduqon se hatyayen ayyashi hai)
har khopaDiyon mein khaulta lava hai
iirshyayen hai
kunthayen hain
duniya mein zahr aam hai
is aalok mein baDi baat hai
marne tak nazuk ankhon ko bachana
gale ko chhuriyon se door rakhna
antaDiyon ko bhitar hi sanbhal kar rakhna
baDi baat hai
ek adami ka sakushal, akhanDit deh ke saath prakritik maut marna.

स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश प्रियदर्शी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.