झलदा
वैसे तो नहीं है झारखंड में
लेकिन यहाँ के पहाड़, जंगल और हवाएँ
बोलती हैं झारखंड की ही भाषा
पश्चिम बंगाल के पुरुलिया ज़िले में पड़ने वाले झलदा में
फ़र्क़ करना मुश्किल है कि
कहाँ है झारखंड
कहाँ है पश्चिम बंगाल!
झलदा के पास ही है
अयोध्या पहाड़
प्रसिद्ध है यहाँ बाघ के सिर जैसी
दिखने वाली छोटी
जिसे कहते हैं ‘बाघ मुंडी’
अयोध्या पहाड़ पर राजा राम नहीं आए कभी
कभी आए भी होंगे तो
लोक-कथाओं में इसका उल्लेख नहीं
फिर न जाने क्यों किसने रखा
इस पहाड़ का नाम अयोध्या
यहाँ का आसमान इतना नीला है
यहाँ के जंगलों के पत्ते इतने हरे हैं
कि यहाँ आ सकते थे दुनिया भर के पर्यटक
यहाँ के गाँवों में बन सकते थे ‘होम स्टे’
यहाँ की सड़कों पर दौड़ सकती थी
देसी-विदेशी पर्यटकों से भरी गाड़ियाँ
यहाँ के युवा रह सकते थे व्यस्त
पर्यटकों को पहाड़ दिखाने में
मिल सकता था उन्हें रोज़गार
अपने ही गाँव-देहात में
लेकिन हुआ नहीं ऐसा कुछ भी
झलदा से चढ़ता है
बेरोज़गार मज़दूरों का रेला
जंगल, ज़मीन की दुर्दशा की कहानियों के साथ
jhalda
waise to nahin hai jharkhanD mein
lekin yahan ke pahaD, jangal aur hawayen
bolti hain jharkhanD ki hi bhasha
pashchim bangal ke puruliya jile mein paDne wale jhalda mein
farq karna mushkil hai ki
kahan hai jharkhanD kahan hai pashchim bangal!
jhalda ke pas hi hai
ayodhya pahaD
prasiddh hai yahan bagh ke sir jaisi dikhne wali chhoti
jise kahte hain ‘bagh munDi’
ayodhya pahaD par raja ram nahin aaye kabhi
kabhi aaye bhi honge to lok kathaon mein iska ullekh nahin
phir na jane kyon kisne rakha is pahaD ka nam ayodhya
yahan ka asman itna nila hai
yahan ke janglon ke patte itne hare hain
ki yahan aa sakte ye duniya bhar ke paryatak
yahan ke ganwon mein ban sakte the ‘hom ste’
yahan ki saDkon par dauD sakti thi
desi wideshi paryatkon se bhari gaDiyan
yahan ke yuwa rah sakte the wyast
paryatkon ko pahaD dikhane mein
mil sakta tha unhen rozgar
apne hi ganw dehat mein
lekin hua nahin aisa kuch bhi
jhalda se chaDhta hai
berozgar mazduron ka rela
jangal, zamin ki durdasha ki kahaniyon ke sath

स्रोत :
पुस्तक : झारखंड एक्सप्रेस (पृष्ठ 29)
रचनाकार : अरुण चंद्र राय
प्रकाशन : ज्योतिपर्व प्रकाशन
संस्करण : 2021
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.