पहाड़ से जंगल कटे
और शहर में उगने लगे
जंगल
सिर्फ़ पेड़ों के नहीं होते
ठीक उसी तरह
जैसे जंगली नहीं होते
सिर्फ़ जानवर
शहर ढकने लगा है
फैलते जंगल से
सूरज की
आधी-अधूरी रोशनी को
झपटने के लिए
हज़ारों बेलें
पेड़ों को कसती हुई
बेतरतीब बढ़ती जाती हैं
जंगल फैल रहा है
एक मज़बूत जाल की तरह
जिसमें फँसी हुई मछलियाँ
साँस भर हवा के लिए
एक दूसरे के ऊपर
चढ़ती-उतरती-लड़ती या मरती हैं
ऊँघते शहर में
धुँध से बैचेन
करोड़ों तारों की
चीख़ें सुनाई पड़ती हैं
और एक बेजान ख़ामोशी से
भरी हुई रात
घिसटती-रेंगती ख़त्म हो जाती है
फ़ैक्ट्रियों के सायरन के साथ
अलस्सुबह
जंगल में
एक और ट्रेन आकर रुकी है
अनगिनत मुसाफ़िर
धरती-सी गठरियाँ लादे
अपने पहुँचने लायक़
जगहों को तलाशते हैं
जंगल कहीं नहीं ठहरता
कई-कई सड़कों पर
बे-रोक टोक
दौड़ता रहता है...
और इस जंगल में
रास्ता भटक जाना
एक बेहद मामूली बात है
जिसका ज़िक्र करना
महज़ वक़्त की बर्बादी है।
वही वक़्त
जो हमेशा
ज़रूरत से कम पड़ जाता है
शहर के जंगल में
pahaD se jangal kate
aur shahr mein ugne lage
jangal
sirf peDon ke nahin hote
theek usi tarah
jaise jangli nahin hote
sirf janwar
shahr dhakne laga hai
phailte jangal se
suraj ki
adhi adhuri roshni ko
jhapatne ke liye
hazaron belen
peDon ko kasti hui
betartib baDhti jati hain
jangal phail raha hai
ek mazbut jal ki tarah
jismen phansi hui machhliyan
sans bhar hawa ke liye
ek dusre ke upar
chaDhti utarti laDti ya marti hain
unghte shahr mein
dhundh se baichen
karoDon taron ki
chikhen sunai paDti hain
aur ek bejan khamoshi se
bhari hui raat
ghisatti rengti khatm ho jati hai
faiktriyon ke sayran ke sath
alassubah
jangal mein
ek aur train aakar ruki hai
anaginat musafi
dharti si gathriyan lade
apne pahunchne layaq
jaghon ko talashte hain
jangal kahin nahin thaharta
kai kai saDkon par
be rok tok
dauDta rahta hai
aur is jangal mein
rasta bhatak jana
ek behad mamuli baat hai
jiska zikr karna
mahz waqt ki barbadi hai
wahi waqt
jo hamesha
zarurat se kam paD jata hai
shahr ke jangal mein
pahaD se jangal kate
aur shahr mein ugne lage
jangal
sirf peDon ke nahin hote
theek usi tarah
jaise jangli nahin hote
sirf janwar
shahr dhakne laga hai
phailte jangal se
suraj ki
adhi adhuri roshni ko
jhapatne ke liye
hazaron belen
peDon ko kasti hui
betartib baDhti jati hain
jangal phail raha hai
ek mazbut jal ki tarah
jismen phansi hui machhliyan
sans bhar hawa ke liye
ek dusre ke upar
chaDhti utarti laDti ya marti hain
unghte shahr mein
dhundh se baichen
karoDon taron ki
chikhen sunai paDti hain
aur ek bejan khamoshi se
bhari hui raat
ghisatti rengti khatm ho jati hai
faiktriyon ke sayran ke sath
alassubah
jangal mein
ek aur train aakar ruki hai
anaginat musafi
dharti si gathriyan lade
apne pahunchne layaq
jaghon ko talashte hain
jangal kahin nahin thaharta
kai kai saDkon par
be rok tok
dauDta rahta hai
aur is jangal mein
rasta bhatak jana
ek behad mamuli baat hai
jiska zikr karna
mahz waqt ki barbadi hai
wahi waqt
jo hamesha
zarurat se kam paD jata hai
shahr ke jangal mein
स्रोत :
रचनाकार : स्वाति मेलकानी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.