एक रोज़ जंगल
जब नींद से उठा
तो काँप उठा
गोदी से उसकी
ख़रगोश कहीं ग़ायब था
जंगल ने तुरत उसे
यहाँ-वहाँ ढूँढ़ा
वह नहीं मिला
बेकल फिर कहाँ-कहाँ ढूँढ़ा
वह नहीं मिला
जंगल ने
झील की ख़ामोशी से पूछा
झरने की तेज़ गर्मजोशी से पूछा
नदी से, समंदर से
गर्त से, पहाड़ से पूछा
जंगल ने
सारे संसार से पूछा
कि कहाँ गया
कहाँ गया प्राणों से प्यारा ख़रगोश
माखन वह
मिसरी वह
अमरित की धारा ख़रगोश
वैसे तो जंगल के आँगन में अब भी
भेड़ों की भीड़ें थीं
शेरों के घेरे थे
नागों के
चूहों के बिलों में बसेरे थे
सियारों के झुंड भी घनेरे थे
पर बे-ख़रगोश
जंगल की ज़िंदगी अँधेरी थी
जंगल के प्राण भी अनेरे थे
जंगल ने एक दिन
सितारों में ढूँढ़ा
पर वहाँ सिर्फ़ चौंध
और माया थी
तब उसने चाँद में तलाशा
पर उसमें ख़रगोश नहीं
जाने किन छवियों की छाया थी
अब जंगल हारा
कि कहाँ गया
आँखों का सपना वह
कहाँ गया
आँखों का तारा
अब जंगल
नाचता न गाता था
न ही खिलखिलाता था
जागता न सोता था
बिलख-बिलख रोता था
अब तो ख़रगोश हेत
जंगल के ख़्वाब भी
तरसते थे
बस उसके आँसू
धरती के दिल पर तेज़ाब-से
बरसते थे...
ek roz jangal
jab neend se utha
to kaanp utha
godi se uski
khargosh kahin ghayab tha
jangal ne turat use
yahan vahan DhunDha
wo nahin mila
bekal phir kahan kahan DhunDha
wo nahin mila
jangal ne
jheel ki khamoshi se puchha
jharne ki tez garmajoshi se puchha
nadi se, samandar se
gart se, pahaD se puchha
jangal ne
sare sansar se puchha
ki kahan gaya
kahan gaya pranon se pyara khargosh
makhan wo
misri wo
amrit ki dhara khargosh
vaise to jangal ke angan mein ab bhi
bheDon ki bhiDen theen
chhoron ke ghere the
nagon ke
chuhon ke bilon mein basere the
siyaron ke jhunD bhi ghanere the
par be khargosh
jangal ki zindagi andheri thi
jangal ke paran bhi anere the
jangal ne ek din
sitaron mein DhunDha
par vahan sirf chaundh
aur maya thi
tab usne chaand mein talasha
par usmen khargosh nahin
jane kin chhaviyon ki chhaya thi
ab jangal hara
ki kahan gaya
ankhon ka sapna wo
kahan gaya
ankhon ka tara
ab jangal
nachta na gata tha
na hi khilkhilata tha
jagata na sota tha
bilakh bilakh rota tha
ab to khargosh het
jangal ke khvab bhi
taraste the
bus uske ansu
dharti ke dil par tezab se
baraste the. . .
ek roz jangal
jab neend se utha
to kaanp utha
godi se uski
khargosh kahin ghayab tha
jangal ne turat use
yahan vahan DhunDha
wo nahin mila
bekal phir kahan kahan DhunDha
wo nahin mila
jangal ne
jheel ki khamoshi se puchha
jharne ki tez garmajoshi se puchha
nadi se, samandar se
gart se, pahaD se puchha
jangal ne
sare sansar se puchha
ki kahan gaya
kahan gaya pranon se pyara khargosh
makhan wo
misri wo
amrit ki dhara khargosh
vaise to jangal ke angan mein ab bhi
bheDon ki bhiDen theen
chhoron ke ghere the
nagon ke
chuhon ke bilon mein basere the
siyaron ke jhunD bhi ghanere the
par be khargosh
jangal ki zindagi andheri thi
jangal ke paran bhi anere the
jangal ne ek din
sitaron mein DhunDha
par vahan sirf chaundh
aur maya thi
tab usne chaand mein talasha
par usmen khargosh nahin
jane kin chhaviyon ki chhaya thi
ab jangal hara
ki kahan gaya
ankhon ka sapna wo
kahan gaya
ankhon ka tara
ab jangal
nachta na gata tha
na hi khilkhilata tha
jagata na sota tha
bilakh bilakh rota tha
ab to khargosh het
jangal ke khvab bhi
taraste the
bus uske ansu
dharti ke dil par tezab se
baraste the. . .
स्रोत :
रचनाकार : राकेश रंजन
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.