नाक में साँस
चढ़ने और उतरने के बीच
ज़रा-सी रुकती है
दो शब्दों के बीच
अभिव्यक्ति की उठान के लिए
रुकती है भाषा
पलकों के झपकने के बीच
आँखों में रुकते हैं मंज़र
मुंबई की लोकल
रुकती ही नहीं
जाँबाज़ पैसेंजर
रुकते-रुकते उतर जाते हैं
चढ़ते रहते हैं चलने के बाद भी
और इतने ही वक़्त में
किसी भी स्टेशन पर उतरकर
शर्त लगाकर
बीस रुपए के नोट से वड़ा पाव
और पानी की बोतल ख़रीद वापस किया गया
एक रुपए का सिक्का दिखा देंगे
कल की बात है
पता चला नहीं जाएगी एक चालीस की लास्ट
पहुँच गए, टेढ़ी की स्टेशन मास्टर की नाक
फोन पर जाने क्या लप-चप हुआ
और चल पड़ी
और उस दिन जब
6.30 पर हुआ था बम-विस्फोट
6.45 तक पहुँचे पत्रकार
6.50 तक पहुँच गई पुलिस
और सात बजे आला अधिकारी
भरे थे तनाव से
जैसे चूल्हे पर डभक रहा हो अदहन
पक रहा हो ग़ुस्सा
घायल पड़ा कराह रहा था
लोहे का एक डिब्बा
रेल की पटरियों, गिट्टियों पर गिरा ताज़ा था ख़ून
जगह जगह लोथड़े पड़े थे माँस के
एक हाथ था
कट कर गिरा हुआ
माटूंगा स्टेशन था
ख़बर थी पच्चीस लोगों के मरने की
और उससे कुछ अधिक लोगों के घायल होने की
मगर न तो एक भी घायल था वहाँ, न मृतक
जज़्बा जाँबाज़ी का
पहुँचा दिया था सबको अस्पताल
पत्रकारों को ज़रूरी था
भेजना समाचार
पुलिस को करनी थी तहक़ीक़ात
मगर हिम्मत नहीं हुई पूछने की अस्पताल का नाम
कहीं से दौड़ता हुआ आया एक
कहा कि घायलों को ज़रूरत है ख़ून की
और जब चल पड़ा जाँबाज़ी का कारवाँ
तो पता चला पत्रकारों को
पुलिस के अधिकारियों को अस्पताल का नाम
जाते-जाते उठा लिया था किसी ने
वह कटा हाथ भी
क्या पता उसे भी जोड़ दे कोई डॉक्टर
nak mein sans
chaDhne aur utarne ke beech
zara si rukti hai
do shabdon ke beech
abhiwyakti ki uthan ke liye
rukti hai bhasha
palkon ke jhapakne ke beech
ankhon mein rukte hain manzar
mumbi ki local
rukti hi nahin
janbaz paisenjar
rukte rukte utar jate hain
chaDhte rahte hain chalne ke baad bhi
aur itne hi waqt mein
kisi bhi station par utarkar
shart lagakar
bees rupae ke not se waDa paw
aur pani ki botal kharid wapas kiya gaya
ek rupae ka sikka dikha denge
kal ki baat hai
pata chala nahin jayegi ek chalis ki last
pahunch gaye, teDhi ki station master ki nak
phon par jane kya lap chap hua
aur chal paDi
aur us din jab
6 30 par hua tha bam wisphot
6 45 tak pahunche patrakar
6 50 tak pahunch gai police
aur sat baje aala adhikari
bhare the tanaw se
jaise chulhe par Dabhak raha ho adhan
pak raha ho ghussa
ghayal paDa karah raha tha
lohe ka ek Dibba
rail ki patariyon, gittiyon par gira taza tha khoon
jagah jagah lothaDe paDe the mans ke
ek hath tha
kat kar gira hua
matunga station tha
khabar thi pachchis logon ke marne ki
aur usse kuch adhik logon ke ghayal hone ki
magar na to ek bhi ghayal tha wahan, na mritak
jazba janbazi ka
pahuncha diya tha sabko aspatal
patrkaron ko zaruri tha
bhejna samachar
police ko karni thi tahqiqat
magar himmat nahin hui puchhne ki aspatal ka nam
kahin se dauDta hua aaya ek
kaha ki ghaylon ko zarurat hai khoon ki
aur jab chal paDa janbazi ka karwan
to pata chala patrkaron ko
police ke adhikariyon ko aspatal ka nam
jate jate utha liya tha kisi ne
wo kata hath bhi
kya pata use bhi joD de koi doctor
nak mein sans
chaDhne aur utarne ke beech
zara si rukti hai
do shabdon ke beech
abhiwyakti ki uthan ke liye
rukti hai bhasha
palkon ke jhapakne ke beech
ankhon mein rukte hain manzar
mumbi ki local
rukti hi nahin
janbaz paisenjar
rukte rukte utar jate hain
chaDhte rahte hain chalne ke baad bhi
aur itne hi waqt mein
kisi bhi station par utarkar
shart lagakar
bees rupae ke not se waDa paw
aur pani ki botal kharid wapas kiya gaya
ek rupae ka sikka dikha denge
kal ki baat hai
pata chala nahin jayegi ek chalis ki last
pahunch gaye, teDhi ki station master ki nak
phon par jane kya lap chap hua
aur chal paDi
aur us din jab
6 30 par hua tha bam wisphot
6 45 tak pahunche patrakar
6 50 tak pahunch gai police
aur sat baje aala adhikari
bhare the tanaw se
jaise chulhe par Dabhak raha ho adhan
pak raha ho ghussa
ghayal paDa karah raha tha
lohe ka ek Dibba
rail ki patariyon, gittiyon par gira taza tha khoon
jagah jagah lothaDe paDe the mans ke
ek hath tha
kat kar gira hua
matunga station tha
khabar thi pachchis logon ke marne ki
aur usse kuch adhik logon ke ghayal hone ki
magar na to ek bhi ghayal tha wahan, na mritak
jazba janbazi ka
pahuncha diya tha sabko aspatal
patrkaron ko zaruri tha
bhejna samachar
police ko karni thi tahqiqat
magar himmat nahin hui puchhne ki aspatal ka nam
kahin se dauDta hua aaya ek
kaha ki ghaylon ko zarurat hai khoon ki
aur jab chal paDa janbazi ka karwan
to pata chala patrkaron ko
police ke adhikariyon ko aspatal ka nam
jate jate utha liya tha kisi ne
wo kata hath bhi
kya pata use bhi joD de koi doctor
स्रोत :
रचनाकार : निलय उपाध्याय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.