वह जो चला गया
क्या वह
वाक़ई चला गया?
उनींदी आँखों की सारी नींद पीछे छोड़कर
गाते-गाते अचानक उठकर
अधूरे गीत के सुर गले में भरकर
चला गया?
जाते वक़्त क्या उसने नहीं छोड़ी कोई भी ख़ुशबू
नहीं कीं कुछ भी बातें
क्या कुछ भी नहीं बोला
उन चीज़ों के बारे में
जिन्हें वह भूलना चाहता था
क्या वह इतना बेज़ुबान हो गया था
जाते वक़्त?
वह
जिसके आते ही घर की दीवारें काँपने लगती थीं
जिसके होने से
घर का होना साबित होता था
जो जहाँ था
वहीं घर था
लेकिन यह भी तो सच है
कि
अमलतास के फूल उसके कहने से नहीं खिलते थे
उसके कहने से नहीं होती थी रात की रानी सुहागन
न ही उसके कहने से
कभी तारों में अपनी दिशा बदली
वह जो चला गया
और
नहीं छोड़ गया अपनी ख़ुशबू भी
लालटेन की चिमनी के चटखने की आवाज़ करते हुए
जब चंद्रमा तरेड़ खाता है
जब तारे बिलबिलाते हैं और
चाँदनी निर्लज्ज अट्टहास करती है
तब
दसों दिशाओं से यही सवाल गूँजता हुआ लौट कर आता है
कौन था जो चला गया?
कोई नहीं
बस एक ख़याल
एक स्वप्न
एक शबीह
wo jo chala gaya
kya wo
waqi chala gaya?
unindi ankhon ki sari neend pichhe chhoDkar
gate gate achanak uthkar
adhure geet ke sur gale mein bharkar
chala gaya?
jate waqt kya usne nahin chhoDi koi bhi khushbu
nahin keen kuch bhi baten
kya kuch bhi nahin bola
un chizon ke bare mein
jinhen wo bhulna chahta tha
kya wo itna bezuban ho gaya tha
jate waqt?
wo
jiske aate hi ghar ki diwaren kanpne lagti theen
jiske hone se
ghar ka hona sabit hota tha
jo jahan tha
wahin ghar tha
lekin ye bhi to sach hai
ki
amaltas ke phool uske kahne se nahin khilte the
uske kahne se nahin hoti thi raat ki rani suhagan
na hi uske kahne se
kabhi taron mein apni disha badli
wo jo chala gaya
aur
nahin chhoD gaya apni khushbu bhi
lalten ki chimani ke chatakhne ki awaz karte hue
jab chandrma tareD khata hai
jab tare bilbilate hain aur
chandni nirlajj attahas karti hai
tab
dason dishaon se yahi sawal gunjta hua laut kar aata hai
kaun tha jo chala gaya?
koi nahin
bus ek khayal
ek swapn
ek shabih
wo jo chala gaya
kya wo
waqi chala gaya?
unindi ankhon ki sari neend pichhe chhoDkar
gate gate achanak uthkar
adhure geet ke sur gale mein bharkar
chala gaya?
jate waqt kya usne nahin chhoDi koi bhi khushbu
nahin keen kuch bhi baten
kya kuch bhi nahin bola
un chizon ke bare mein
jinhen wo bhulna chahta tha
kya wo itna bezuban ho gaya tha
jate waqt?
wo
jiske aate hi ghar ki diwaren kanpne lagti theen
jiske hone se
ghar ka hona sabit hota tha
jo jahan tha
wahin ghar tha
lekin ye bhi to sach hai
ki
amaltas ke phool uske kahne se nahin khilte the
uske kahne se nahin hoti thi raat ki rani suhagan
na hi uske kahne se
kabhi taron mein apni disha badli
wo jo chala gaya
aur
nahin chhoD gaya apni khushbu bhi
lalten ki chimani ke chatakhne ki awaz karte hue
jab chandrma tareD khata hai
jab tare bilbilate hain aur
chandni nirlajj attahas karti hai
tab
dason dishaon se yahi sawal gunjta hua laut kar aata hai
kaun tha jo chala gaya?
koi nahin
bus ek khayal
ek swapn
ek shabih
स्रोत :
रचनाकार : कुलदीप कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.