कुछ दिनों के लिए भूखा रहें
बाहर की दुनिया से कट जाएँ
हर भौतिक स्पर्श से दूर रहें
कम खाएँ
अधिक से अधिक एकांत में रहें
मनोरंजन के नाम पर
सिर्फ़ बच्चों को खेलते हुए देखें
उनके खेल में शामिल न हों
ध्यान रहे
आपके भीतर भी एक खेल चल रहा है
वह गड़बड़ा जाएगा
पढ़ने के नाम पर
सिर्फ़ भाषा के बुनियादी ढाँचे के बारे में
पढ़ें और सोचें
भाषा की सजावट के बारे में न पढ़ें
ज्ञानेंद्रियों को आज्ञा दें
वे कविता के हर बढ़ते क़दम को महसूस करें
अगर पीछे लौटने का मन हो तो
याद कर सकते हैं माँ के द्वारा सिखाया गया पहला शब्द
पहला चुंबन, प्रेम, प्रतिष्ठा
इन सभी की स्मृतियाँ कविता लिखने के लिए घातक हैं
इन सभी हिदायतों के लिए माफ़ी
बस इंतज़ार करें।
kuch dinon ke liye bhukha rahen
bahar ki duniya se kat jayen
har bhautik sparsh se door rahen
kam khayen
adhik se adhik ekaant mein rahen
manoranjan ke maan par sirf bachchon ko khelte hue dekhen
unke khel mein shamil na hon
dhyaan rahe
aapke bhitar bhi ek khel chal raha hai
wo gaDbaDa jayega
paDhne ke naam par sirf bhasha ke buniyadi Dhancha ke bare mein paDhen aur sochen
bhasha ke sajavat ke bare mein na paDhen
gyanendriyon ko aagya den
wo kavita ke har baDhte qadam ko mahsus karen
agar pichhe lautne ka man ho to
yaad kar sakte hain maan ke dvara sikhaya gaya pahla shabd
pahla chumban, prem, pratishtha
in sabhi ki smritiyan kavita likhne ke liye ghatak hai
in sabhi hidayaton ke liye mafi
bus intzaar karen.
kuch dinon ke liye bhukha rahen
bahar ki duniya se kat jayen
har bhautik sparsh se door rahen
kam khayen
adhik se adhik ekaant mein rahen
manoranjan ke maan par sirf bachchon ko khelte hue dekhen
unke khel mein shamil na hon
dhyaan rahe
aapke bhitar bhi ek khel chal raha hai
wo gaDbaDa jayega
paDhne ke naam par sirf bhasha ke buniyadi Dhancha ke bare mein paDhen aur sochen
bhasha ke sajavat ke bare mein na paDhen
gyanendriyon ko aagya den
wo kavita ke har baDhte qadam ko mahsus karen
agar pichhe lautne ka man ho to
yaad kar sakte hain maan ke dvara sikhaya gaya pahla shabd
pahla chumban, prem, pratishtha
in sabhi ki smritiyan kavita likhne ke liye ghatak hai
in sabhi hidayaton ke liye mafi
bus intzaar karen.
स्रोत :
रचनाकार : राकेश कुमार मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.