प्रेयसी प्रेम करते वक़्त हृदय की
संपूर्ण भावनाओं को सौंप देती हैं अपने प्रेमी को
ख़ुद को किसी को सौंपने से पूर्व
वह नहीं सुनती अपने पूर्वाभास की
प्रेम उसे अंधा नहीं, निर्णयहीन कर देता है
उसके प्रेमी को प्रेम नहीं ख़ुद्दारी पसंद है
प्रेम उसे ख़ुद्दारी सिखाता है
ख़ुद की वास्तविकता बदल प्रेयसी ख़ुद्दार हो जाती है
पहले प्रेमी की ख़ुद्दारी उसे मारती है
उसके जाने के बाद,
उसकी सिखाई हुई ख़ुद्दारी से वह ख़ुद को मारती है
वह जो उसे अस्वीकार गया
वह ही उसे ख़ुद को अस्वीकार करना सिखा गया
अपने वास्तविक स्वरूप को त्याग देने के बाद
अवास्तविक स्वरूप को ईश्वर नहीं स्वीकारता
ईश्वर भी ख़ुद्दारी जानता है
जो चीज़ जैसी बनाकर भेजता है
वैसी ही वापस लेता है
प्रेमी भगवान से भी ऊपर है
प्रेयसी सृष्टि की सबसे नीच योनि से भी नीच
उसने ईश्वर को साधे बिना ख़ुद को बदल डाला
इस दुनिया और उस दुनिया के बीच ये प्रेयसियाँ
बादलों के बीच ही रहती हैं
इस प्रकृति की जितनी कोमलता है, सुंदरता है
उस सुंदरता ने इन प्रेयसियों की आत्मा को
अपने वजूद में सोख रखा है
वे जिनके पुरुष नहीं होते हैं
उनकी प्रकृति होती है
या यूँ कहूँ
वे ही प्रकृति होती हैं।
preyasi prem karte waqt hirdai ki
sampurn bhawnaon ko saump deti hain apne premi ko
khu ko kisi ko saumpne se poorw
wo nahin sunti apne purwabhas ki
prem use andha nahin, nirnayhin kar deta hai
uske premi ko prem nahin khuddari pasand hai
prem use khuddari sikhata hai
khu ki wastawikta badal preyasi khuddar ho jati hai
pahle premi ki khuddari use marti hai
uske jane ke baad,
uski sikhai hui khuddari se wo khu ko marti hai
wo jo use aswikar gaya
wo hi use khu ko aswikar karna sikha gaya
apne wastawik swarup ko tyag dene ke baad
awastawik swarup ko ishwar nahin swikarta
ishwar bhi khuddari janta hai
jo cheez jaisi banakar bhejta hai
waisi hi wapas leta hai
premi bhagwan se bhi upar hai
preyasi sirishti ki sabse neech yoni se bhi neech
usne ishwar ko sadhe bina khu ko badal Dala
is duniya aur us duniya ke beech ye preyasiyan
badlon ke beech hi rahti hain
is prakrti ki jitni komalta hai, sundarta hai
us sundarta ne in preyasiyon ki aatma ko
apne wajud mein sokh rakha hai
we jinke purush nahin hote hain
unki prakrti hoti hai
ya yoon kahun
we hi prakrti hoti hain

स्रोत :
रचनाकार : नेहा अपराजिता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.